nashe mein hoon magar aalooda-e-sharaab nahin
kharab hoon magar itna bhi main kharab nahin
kahi bhi husn ka chehra tah-e-naqaab nahin
ye apna deeda-e-dil hai ki be-hijaab nahin
vo ik bashar hai koi noor-e-aftaab nahin
main kya karoon ki mujhe dekhne ki taab nahin
ye jis ne meri nigaahon mein ungaliyaan bhar deen
to phir ye kya hai agar ye tira shabaab nahin
mere suroor se andaaja-e-sharaab na kar
mera suroor b-andaaja-e-sharaab nahin
नशे में हूँ मगर आलूदा-ए-शराब नहीं
ख़राब हूँ मगर इतना भी मैं ख़राब नहीं
कहीं भी हुस्न का चेहरा तह-ए-नक़ाब नहीं
ये अपना दीदा-ए-दिल है कि बे-हिजाब नहीं
वो इक बशर है कोई नूर-ए-आफ़ताब नहीं
मैं क्या करूँ कि मुझे देखने की ताब नहीं
ये जिस ने मेरी निगाहों में उँगलियाँ भर दीं
तो फिर ये क्या है अगर ये तिरा शबाब नहीं
मिरे सुरूर से अंदाजा-ए-शराब न कर
मिरा सुरूर ब-अंदाजा-ए-शराब नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagan Nath Azad
our suggestion based on Jagan Nath Azad
As you were reading Jalwa Shayari Shayari