khayaal-e-yaar jab aata hai betaabaana aata hai | ख़याल-ए-यार जब आता है बेताबाना आता है

  - Jagan Nath Azad

khayaal-e-yaar jab aata hai betaabaana aata hai
ki jaise sham'a ki jaanib koi parwaana aata hai

tasavvur is tarah aata hai tera mehfil-e-dil mein
mere haathon mein jaise khud b-khud-paimaana aata hai

khird waalo khabar bhi hai kabhi aisa bhi hota hai
junoon ki justuju mein aap hi veeraana aata hai

kabhi qasd-e-haram ko jab qadam apna uthaata hoon
mere har ik qadam par ik naya but-khaana aata hai

dar-e-jaanaan se aata hoon to log aapas mein kahte hain
faqeer aata hai aur ba-shaukat-e-shaahana aata hai

dakan ki heer se azaad koi ja ke ye kah de
ki raanjhe ke watan se aaj ik deewaana aata hai

wahi zikr-e-dakan hai aur wahi furqat ki baatein hain
tujhe azaad koi aur bhi afsaana aata hai

ख़याल-ए-यार जब आता है बेताबाना आता है
कि जैसे शम्अ की जानिब कोई परवाना आता है

तसव्वुर इस तरह आता है तेरा महफ़िल-ए-दिल में
मिरे हाथों में जैसे ख़ुद ब-ख़ुद-पैमाना आता है

ख़िरद वालो ख़बर भी है कभी ऐसा भी होता है
जुनूँ की जुस्तुजू में आप ही वीराना आता है

कभी क़स्द-ए-हरम को जब क़दम अपना उठाता हूँ
मिरे हर इक क़दम पर इक नया बुत-ख़ाना आता है

दर-ए-जानाँ से आता हूँ तो लोग आपस में कहते हैं
फ़क़ीर आता है और बा-शौकत-ए-शाहाना आता है

दकन की हीर से 'आज़ाद' कोई जा के ये कह दे
कि राँझे के वतन से आज इक दीवाना आता है

वही ज़िक्र-ए-दकन है और वही फ़ुर्क़त की बातें हैं
तुझे 'आज़ाद' कोई और भी अफ़्साना आता है

  - Jagan Nath Azad

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagan Nath Azad

As you were reading Shayari by Jagan Nath Azad

Similar Writers

our suggestion based on Jagan Nath Azad

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari