jalwa tira is tarah se naakaam na hota | जल्वा तिरा इस तरह से नाकाम न होता

  - Jagan Nath Azad

jalwa tira is tarah se naakaam na hota
ham toor pe hote to ye anjaam na hota

sunta main kahaan waiz-e-naadaan ki naseehat
gar waaz-o-naseehat mein tira naam na hota

gunche ki chatk dil ki tahon mein na utarti
is mein jo nahufta tira paighaam na hota

ye rizq ki hai kor-nigaahi ki nahin baat
daana bhi na hota jo kahi daam na hota

katata bhala kyunkar shab-e-furqat ka andhera
palkon pe charaaghaan jo sar-e-shaam na hota

azaad nasheeman se qafas mein jo na aate
is waqt jo haasil hai vo aaraam na hota

जल्वा तिरा इस तरह से नाकाम न होता
हम तूर पे होते तो ये अंजाम न होता

सुनता मैं कहाँ वाइज़-ए-नादाँ की नसीहत
गर वाज़-ओ-नसीहत में तिरा नाम न होता

ग़ुंचे की चटक दिल की तहों में न उतरती
इस में जो नहुफ़्ता तिरा पैग़ाम न होता

ये रिज़्क़ की है कोर-निगाही की नहीं बात
दाना भी न होता जो कहीं दाम न होता

कटता भला क्यूँकर शब-ए-फ़ुर्क़त का अंधेरा
पलकों पे चराग़ाँ जो सर-ए-शाम न होता

'आज़ाद' नशेमन से क़फ़स में जो न आते
इस वक़्त जो हासिल है वो आराम न होता

  - Jagan Nath Azad

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagan Nath Azad

As you were reading Shayari by Jagan Nath Azad

Similar Writers

our suggestion based on Jagan Nath Azad

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari