kab is mein shak mujhe hai jo lazzat hai qaal mein | कब इस में शक मुझे है जो लज़्ज़त है क़ाल में

  - Jagan Nath Azad

kab is mein shak mujhe hai jo lazzat hai qaal mein
lekin vo baat is mein kahaan hai jo haal mein

dil hai mera ki maarka-e-kufr-o-deen koi
ik umr kat gai hai jawaab o sawaal mein

allah re be-khudi ki tire ghar ke aas-paas
har dar pe di sada tire dar ke khayal mein

do naam ek kaifiyat-e-jazb-e-dil ke hain
bas farq is qadar hai firaq o visaal mein

aaye vo kitni baar nigaahon ke roo-b-roo
us ke libaas mein kabhi us ke jamaal mein

कब इस में शक मुझे है जो लज़्ज़त है क़ाल में
लेकिन वो बात इस में कहाँ है जो हाल में

दिल है मिरा कि मारका-ए-कुफ़्र-ओ-दीं कोई
इक उम्र कट गई है जवाब ओ सवाल में

अल्लाह रे बे-ख़ुदी कि तिरे घर के आस-पास
हर दर पे दी सदा तिरे दर के ख़याल में

दो नाम एक कैफ़ियत-ए-जज़्ब-ए-दिल के हैं
बस फ़र्क़ इस क़दर है फ़िराक़ ओ विसाल में

आए वो कितनी बार निगाहों के रू-ब-रू
उस के लिबास में कभी उस के जमाल में

  - Jagan Nath Azad

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagan Nath Azad

As you were reading Shayari by Jagan Nath Azad

Similar Writers

our suggestion based on Jagan Nath Azad

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari