muddat ho gai saaz-e-mohabbat khol de ab ye raaz | मुद्दत हो गई साज़-ए-मोहब्बत खोल दे अब ये राज़

  - Jagan Nath Azad

muddat ho gai saaz-e-mohabbat khol de ab ye raaz
vo meri awaaz hain baanhon mein un ki awaaz

kitni manazil tay kar aaya mera shauq-e-niyaaz
ai nazaron se chhupne waale ab to de awaaz

kyun har gaam pe mera dil hai sajdon pe majboor
kya nazdeek kahi hai teri jalva-gaah-e-naaz

asl mein ek hi kaifiyyat ki do tasveerein hain
tera kibr-o-naaz ho ya ho mera jazb-e-niyaaz

मुद्दत हो गई साज़-ए-मोहब्बत खोल दे अब ये राज़
वो मेरी आवाज़ हैं बाँहों में उन की आवाज़

कितनी मनाज़िल तय कर आया मेरा शौक़-ए-नियाज़
ऐ नज़रों से छुपने वाले अब तो दे आवाज़

क्यूँ हर गाम पे मेरा दिल है सज्दों पे मजबूर
क्या नज़दीक कहीं है तेरी जल्वा-गाह-ए-नाज़

अस्ल में एक ही कैफ़िय्यत की दो तस्वीरें हैं
तेरा किब्र-ओ-नाज़ हो या हो मेरा जज़्ब-ए-नियाज़

  - Jagan Nath Azad

Bebas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagan Nath Azad

As you were reading Shayari by Jagan Nath Azad

Similar Writers

our suggestion based on Jagan Nath Azad

Similar Moods

As you were reading Bebas Shayari Shayari