jab apne nagme na apni zabaan tak aaye | जब अपने नग़्मे न अपनी ज़बाँ तक आए

  - Jagan Nath Azad

jab apne nagme na apni zabaan tak aaye
tire huzoor ham aa kar bahut hi pachhtaaye

khayal ban na saka naghma garche ham ne use
hazaar tarah ke malboos-e-lafz pahnaaye

ye husn-o-rang ka toofaan hai maaz-allah
nigaah jam na sake aur thak ke rah gaye

jo dard uthe bhi to izhaar us ka ho kyunkar
huzoor-e-husn agar awaaz baith hi jaaye

hate nazar se na furqat ki dhoop mein azaad
kisi ki sumbul-e-shab rang ke ghane saaye

जब अपने नग़्मे न अपनी ज़बाँ तक आए
तिरे हुज़ूर हम आ कर बहुत ही पछताए

ख़याल बन न सका नग़्मा गरचे हम ने उसे
हज़ार तरह के मलबूस-ए-लफ़्ज़ पहनाए

ये हुस्न-ओ-रंग का तूफ़ाँ है मआज़-अल्लाह
निगाह जम न सके और थक के रह गए

जो दर्द उठे भी तो इज़हार उस का हो क्यूँकर
हुज़ूर-ए-हुस्न अगर आवाज़ बैठ ही जाए

हटे नज़र से न फ़ुर्क़त की धूप में 'आज़ाद'
किसी की सुम्बुल-ए-शब रंग के घने साए

  - Jagan Nath Azad

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagan Nath Azad

As you were reading Shayari by Jagan Nath Azad

Similar Writers

our suggestion based on Jagan Nath Azad

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari