ab main hoon aap ek tamasha bana hua | अब मैं हूँ आप एक तमाशा बना हुआ

  - Jagan Nath Azad

ab main hoon aap ek tamasha bana hua
guzra ye kaun meri taraf dekhta hua

kaif-e-gham-e-firaq ki lazzat jise mili
haasil use visaal nahin hai to kya hua

khaashaak-e-zindagi to mila us ke saath saath
tera karam ki dard ka shola ata hua

dar tak tire khudi ne na aane diya jise
aankhon se ashk ban ke vo sajda ada hua

sheereni-e-hayaat ki lazzat mein hai kami
kuchh is mein zahar-e-gham na agar ho mila hua

kuchh kam nahin hon lazzat-e-furqat se faiz-yaab
haasil agar visaal nahin hai to kya hua

ab is maqaam par hai meri zindagi ki hai
har dost ek naaseh-e-mushfiq bana hua

ye bhi zara khayal rahe aazim-e-haram
raaste mein but-kade ka bhi dar hai khula hua

vo qadd-e-naaz aur vo chehre ka husn o rang
jaise ho phool shaakh pe koi khila hua

peshe-e-nazar thi manzil-e-jaanaan ki justuju
aur phir raha hoon apna pata dhundhta hua

kah kar tamaam raat ghazal subh ke qareeb
azaad misl-e-sham-e-sehr hoon bujha hua

अब मैं हूँ आप एक तमाशा बना हुआ
गुज़रा ये कौन मेरी तरफ़ देखता हुआ

कैफ़-ए-ग़म-ए-फ़िराक़ की लज़्ज़त जिसे मिली
हासिल उसे विसाल नहीं है तो क्या हुआ

ख़ाशाक-ए-ज़िंदगी तो मिला उस के साथ साथ
तेरा करम कि दर्द का शोला अता हुआ

दर तक तिरे ख़ुदी ने न आने दिया जिसे
आँखों से अश्क बन के वो सज्दा अदा हुआ

शीरीनी-ए-हयात की लज़्ज़त में है कमी
कुछ इस में ज़हर-ए-ग़म न अगर हो मिला हुआ

कुछ कम नहीं हों लज़्ज़त-ए-फ़ुर्क़त से फ़ैज़-याब
हासिल अगर विसाल नहीं है तो क्या हुआ

अब इस मक़ाम पर है मिरी ज़िंदगी कि है
हर दोस्त एक नासेह-ए-मुश्फ़िक़ बना हुआ

ये भी ज़रा ख़याल रहे आज़िम-ए-हरम
रस्ते में बुत-कदे का भी दर है खुला हुआ

वो क़द्द-ए-नाज़ और वो चेहरे का हुस्न ओ रंग
जैसे हो फूल शाख़ पे कोई खिला हुआ

पेश-ए-नज़र थी मंज़िल-ए-जानाँ की जुस्तुजू
और फिर रहा हूँ अपना पता ढूँडता हुआ

कह कर तमाम रात ग़ज़ल सुब्ह के क़रीब
'आज़ाद' मिस्ल-ए-शम-ए-सहर हूँ बुझा हुआ

  - Jagan Nath Azad

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagan Nath Azad

As you were reading Shayari by Jagan Nath Azad

Similar Writers

our suggestion based on Jagan Nath Azad

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari