meri chashm-e-tamaasha ab jahaan hai
tajalli kaarwaan dar kaarwaan hai
yaqeen hai aakhiri manzil gumaan ki
yaqeen ki aakhiri manzil gumaan hai
vo mujh se door to itne nahin hain
faqat ik be-yaqeeni darmiyaan hai
ye raaz ahl-e-fughaan par faash kar do
khamoshi bhi ik andaaz-e-fughaan hai
ye meer-e-kaarwaan se koi kah de
ki main hoon aur talaash-e-kaarvaan hai
मिरी चश्म-ए-तमाशा अब जहाँ है
तजल्ली कारवाँ दर कारवाँ है
यक़ीं है आख़िरी मंज़िल गुमाँ की
यक़ीं की आख़िरी मंज़िल गुमाँ है
वो मुझ से दूर तो इतने नहीं हैं
फ़क़त इक बे-यक़ीनी दरमियाँ है
ये राज़ अहल-ए-फ़ुग़ाँ पर फ़ाश कर दो
ख़मोशी भी इक अंदाज़-ए-फ़ुग़ाँ है
ये मीर-ए-कारवाँ से कोई कह दे
कि मैं हूँ और तलाश-ए-कारवाँ है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagan Nath Azad
our suggestion based on Jagan Nath Azad
As you were reading Aitbaar Shayari Shayari