phir laut kar gaye na kabhi dasht-o-dar se ham | फिर लौट कर गए न कभी दश्त-ओ-दर से हम

  - Jagan Nath Azad

phir laut kar gaye na kabhi dasht-o-dar se ham
nikle bas ek baar kuchh is tarah ghar se ham

kuchh door tak chale hi gaye be-khabar se ham
ai be-khudi-e-shauq ye guzre kidhar se ham

azaad be-niyaaz the apni khabar se ham
palte kuchh is tarah se dakan ke safar se ham

qalb-o-nazar ka daur bas itna hi yaad hai
vo ik qadam udhar se badhe the idhar se ham

ai kaash ye sada bhi kabhi kaan mein pade
utho ki laut aaye hain apne safar se ham

dil ka chaman hai kaif-e-bahaaran liye hue
guzre the ek baar tiri rah-guzar se ham

aata hai ik sitaara nazar chaand ke qareeb
jab dekhte hain khud ko tumhaari nazar se ham

is se ziyaada daur-e-junoon ki khabar nahin
kuchh be-khabar se aap the kuchh be-khabar se ham

jitni bhi rah gai thi kami dil ke dard mein
utna hi loot gaye hain mataa'-e-nazar se ham

roz-e-azl se apni jabeen mein tadap rahi
waabasta yun rahe hain tire sang-e-dar se ham

फिर लौट कर गए न कभी दश्त-ओ-दर से हम
निकले बस एक बार कुछ इस तरह घर से हम

कुछ दूर तक चले ही गए बे-ख़बर से हम
ऐ बे-ख़ुदी-ए-शौक़ ये गुज़रे किधर से हम

आज़ाद बे-नियाज़ थे अपनी ख़बर से हम
पलटे कुछ इस तरह से दकन के सफ़र से हम

क़ल्ब-ओ-नज़र का दौर बस इतना ही याद है
वो इक क़दम उधर से बढ़े थे इधर से हम

ऐ काश ये सदा भी कभी कान में पड़े
उट्ठो कि लौट आए हैं अपने सफ़र से हम

दिल का चमन है कैफ़-ए-बहाराँ लिए हुए
गुज़रे थे एक बार तिरी रह-गुज़र से हम

आता है इक सितारा नज़र चाँद के क़रीब
जब देखते हैं ख़ुद को तुम्हारी नज़र से हम

इस से ज़्यादा दौर-ए-जुनूँ की ख़बर नहीं
कुछ बे-ख़बर से आप थे कुछ बे-ख़बर से हम

जितनी भी रह गई थी कमी दिल के दर्द में
उतना ही लुट गए हैं मताअ'-ए-नज़र से हम

रोज़-ए-अज़ल से अपनी जबीं में तड़प रही
वाबस्ता यूँ रहे हैं तिरे संग-ए-दर से हम

  - Jagan Nath Azad

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagan Nath Azad

As you were reading Shayari by Jagan Nath Azad

Similar Writers

our suggestion based on Jagan Nath Azad

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari