yun ik sabq-e-mehr-o-wafa chhod gaye ham | यूँ इक सबक़-ए-मेहर-ओ-वफ़ा छोड़ गए हम

  - Jagan Nath Azad

yun ik sabq-e-mehr-o-wafa chhod gaye ham
har raah mein naqsh-e-kaf-e-paa chhod gaye ham

duniya tire qirtaas pe kya chhod gaye ham
ik husn-e-bayaan husn-e-ada chhod gaye ham

maahol ki zulmaat mein jis raah se guzre
qindeel-e-mohabbat ki ziya chhod gaye ham

begaana rahe dard-e-mohabbat ki dava se
ye dard hi kuchh aur siva chhod gaye ham

thi saamne aalaish-e-duniya ki bhi ik raah
vo khoobi-e-qismat se zara chhod gaye ham

ik husn-e-dakan tha ki nigaahon se na chhoota
har husn ko warna b-khuda chhod gaye ham

यूँ इक सबक़-ए-मेहर-ओ-वफ़ा छोड़ गए हम
हर राह में नक़्श-ए-कफ़-ए-पा छोड़ गए हम

दुनिया तिरे क़िर्तास पे क्या छोड़ गए हम
इक हुस्न-ए-बयाँ हुस्न-ए-अदा छोड़ गए हम

माहौल की ज़ुल्मात में जिस राह से गुज़रे
क़िंदील-ए-मोहब्बत की ज़िया छोड़ गए हम

बेगाना रहे दर्द-ए-मोहब्बत की दवा से
ये दर्द ही कुछ और सिवा छोड़ गए हम

थी सामने आलाइश-ए-दुनिया की भी इक राह
वो ख़ूबी-ए-क़िस्मत से ज़रा छोड़ गए हम

इक हुस्न-ए-दकन था कि निगाहों से न छूटा
हर हुस्न को वर्ना ब-ख़ुदा छोड़ गए हम

  - Jagan Nath Azad

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagan Nath Azad

As you were reading Shayari by Jagan Nath Azad

Similar Writers

our suggestion based on Jagan Nath Azad

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari