kab kaun kahaan kis liye zanjeer-bapaa hai | कब कौन कहाँ किस लिए ज़ंजीर-बपा है

  - Jaleel 'Aali'

kab kaun kahaan kis liye zanjeer-bapaa hai
ye uqd-e-asraar-e-azal kis pe khula hai

kis bhes koi mauj-e-hawa saath laga le
kis des nikal jaaye ye dil kis ko pata hai

ik haath ki doori pe hain sab chaand sitaare
ye arsh-e-jaan kis dam-e-deegar ki ata hai

aahang-e-shab-o-roz ke nairang se aage
dil ek gul-e-khwaab ki khushboo mein basa hai

ye shahr-e-tilismaat hai kuchh kah nahin sakte
pahluu mein khada shakhs farishta ki bala hai

har soch hai ik gumbad-e-ehsaas mein gardaan
aur gumbad-e-ehsaas mein dar harf-e-dua hai

ye deed to rudaad-e-hijaabaat hai aali
vo maah-e-mukammal na ghatta hai na badha hai

कब कौन कहाँ किस लिए ज़ंजीर-बपा है
ये उक़्द-ए-असरार-ए-अज़ल किस पे खुला है

किस भेस कोई मौज-ए-हवा साथ लगा ले
किस देस निकल जाए ये दिल किस को पता है

इक हाथ की दूरी पे हैं सब चाँद सितारे
ये अर्श-ए-जाँ किस दम-ए-दीगर की अता है

आहंग-ए-शब-ओ-रोज़ के नैरंग से आगे
दिल एक गुल-ए-ख़्वाब की ख़ुश्बू में बसा है

ये शहर-ए-तिलिस्मात है कुछ कह नहीं सकते
पहलू में खड़ा शख़्स फ़रिश्ता कि बला है

हर सोच है इक गुम्बद-ए-एहसास में गर्दां
और गुम्बद-ए-एहसास में दर हर्फ़-ए-दुआ है

ये दीद तो रूदाद-ए-हिजाबात है 'आली'
वो माह-ए-मुकम्मल न घटा है न बढ़ा है

  - Jaleel 'Aali'

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel 'Aali'

As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel 'Aali'

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari