ab ham jaan gaye hain ki andhere hamaara muqaddar nahin the
balki tum ne shehar ki tamaam street-lights bujha di theen
hamaara frustration tumhaari makkaari hai ki ham se mohabbat aur jins ki
sacchi masarratein cheen kar tum ne hamein blue-film ka aadi bana diya
hamaare haseesh bhare cigaretteon ka dhuaan tumhaari masheenon ke azaab
aur milo ki chimniyon se nikalne waale zahar ka nateeja hai
lekin ab zahar tumhaara muqaddar hoga ki ham tawaanai ke saath zinda rahne ka gur jaan gaye hain
ab ham cantonment ke khoon-khwaar bheriyon aur siberia ke
barfaani reechhon se nahin darte jinhon ne poori duniya ko naazi camp bana diya tha
ab hamein in maskhare toton ki daanishwari nahin chahiye jo hazaaron
saal ki ratti-rataai baatein dohraa kar hamein ilm ke naam par bewaqoof bana rahe the
plato bahut bada aadmi tha phir bhi apne daur ki republican ham khud likhenge
ham maasoom bacche hain magar hamaare khilone tod kar tum ne hamein gaaliyaan dene par majboor kar diya
kal ham picnic manaate manaate magarmachchh ke munh mein chale gaye the
lekin aaj paaniyon par aag laga kar tairte rahne ka fan seekh chuke hain
kal ham tum se baat karte darte the lekin aaj
khuda se hot-line par guftugoo kar rahe hain
agar tum raketon par baith kar bhagodon ki tarah chaand aur mirrikh ki taraf
jaana chahte ho to jaao hamein hamaari zameen aur aane waala zamaana chahiye
raat faahisha aurat thi jo tumhaare saath soi rahi
lekin ab din nikal chuka hai aur us ka raushan suraj
andheron black-out aur faahisha auraton ke liye maut ki alaamat hai
अब हम जान गए हैं कि अँधेरे हमारा मुक़द्दर नहीं थे
बल्कि तुम ने शहर की तमाम स्ट्रीट-लाइट्स बुझा दी थीं
हमारा फ्रस्ट्रेशन तुम्हारी मक्कारी है कि हम से मोहब्बत और जिंस की
सच्ची मसर्रतें छीन कर तुम ने हमें ब्लू-फ़िल्म का आदी बना दिया
हमारे हशीश भरे सिगरेटों का धुआँ तुम्हारी मशीनों के अज़ाब
और मिलों की चिमनियों से निकलने वाले ज़हर का नतीजा है
लेकिन अब ज़हर तुम्हारा मुक़द्दर होगा कि हम तवानाई के साथ ज़िंदा रहने का गुर जान गए हैं
अब हम कान्टनन्ट के खूँ-ख़्वार भेड़ियों और साइबेरिया के
बर्फ़ानी रीछों से नहीं डरते जिन्हों ने पूरी दुनिया को नाज़ी कैम्प बना दिया था
अब हमें इन मस्ख़रे तोतों की दानिश्वरी नहीं चाहिए जो हज़ारों
साल की रटी-रटाई बातें दोहरा कर हमें इल्म के नाम पर बेवक़ूफ़ बना रहे थे
प्लेटो बहुत बड़ा आदमी था फिर भी अपने दौर की रिपब्लिकन हम ख़ुद लिखेंगे
हम मासूम बच्चे हैं मगर हमारे खिलौने तोड़ कर तुम ने हमें गालियाँ देने पर मजबूर कर दिया
कल हम पिकनिक मनाते मनाते मगरमच्छ के मुँह में चले गए थे
लेकिन आज पानियों पर आग लगा कर तैरते रहने का फ़न सीख चुके हैं
कल हम तुम से बात करते डरते थे लेकिन आज
ख़ुदा से हॉट-लाइन पर गुफ़्तुगू कर रहे हैं
अगर तुम राकेटों पर बैठ कर भगोड़ों की तरह चाँद और मिर्रीख़ की तरफ़
जाना चाहते हो तो जाओ हमें हमारी ज़मीन और आने वाला ज़माना चाहिए
रात फ़ाहिशा औरत थी जो तुम्हारे साथ सोई रही
लेकिन अब दिन निकल चुका है और उस का रौशन सूरज
अँधेरों ब्लैक-आउट और फ़ाहिशा औरतों के लिए मौत की अलामत है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Jaleel Hashmi
As you were reading Education Shayari Shayari