tumhein yaad hoga | तुम्हें याद होगा

  - Janan Malik

tumhein yaad hoga
tum ne mujhe pichhle baras khat mein aprail bheja
jo mujh tak pahunchte pahunchte agust ho gaya
lafz peele patton ki tarah
farsh par bikhar gaye
december ki sard raaton mein
main va'don ke aatish-daan par
baithi jaagti rahi
meri ragon mein jama hua december
aankhon se pighal kar
bahta rehta hai
is baras mujhe
khat mein kuchh nahin bhejna
kuchh bhi nahin
shaayad aziyyaton se bhari
shaakhon par
kisi wa'de ki konpal
phoot pade
mausamon ka kya hai kab badal jaayen
be-e'tibaar lahjon ki tarah
waqt sab kuchh ult palat raha hai
shaayad tumhaare lautne tak
bahut kuchh waisa na rahe
jaisa tum chhod gaye the
lohe ke jabde
mitti ke malboos
ko taar-taar karte ja rahe hain
pul jahaan se tum park ke kinaare
khade dikhaai dete the
vo manzar metro bas ne nigal liya hai
sumbul ke pedon ki jagah shopping maal le chuka hai
aur haan
vo phoolon waali dukaan
jahaan se ham buke lete the
wahan fastfood ban gaya
dil ki jagah antadiyon ne le li hai
kya kuchh aur kaise badal jaata hai

तुम्हें याद होगा
तुम ने मुझे पिछले बरस ख़त में अप्रैल भेजा
जो मुझ तक पहुँचते पहुँचते अगस्त हो गया
लफ़्ज़ पीले पत्तों की तरह
फ़र्श पर बिखर गए
दिसम्बर की सर्द रातों में
मैं वा'दों के आतिश-दान पर
बैठी जागती रही
मेरी रगों में जमा हुआ दिसम्बर
आँखों से पिघल कर
बहता रहता है
इस बरस मुझे
ख़त में कुछ नहीं भेजना
कुछ भी नहीं
शायद अज़िय्यतों से भरी
शाख़ों पर
किसी वा'दे की कोंपल
फूट पड़े
मौसमों का क्या है कब बदल जाएँ
बे-ए'तिबार लहजों की तरह
वक़्त सब कुछ उलट पलट रहा है
शायद तुम्हारे लौटने तक
बहुत कुछ वैसा न रहे
जैसा तुम छोड़ गए थे
लोहे के जबड़े
मिट्टी के मल्बूस
को तार-तार करते जा रहे हैं
पुल जहाँ से तुम पार्क के किनारे
खड़े दिखाई देते थे
वो मंज़र मेट्रो बस ने निगल लिया है
सुम्बुल के पेड़ों की जगह शॉपिंग मॉल ले चुका है
और हाँ
वो फूलों वाली दुकान
जहाँ से हम बुके लेते थे
वहाँ फास्टफूड बन गया
दिल की जगह अंतड़ियों ने ले ली है
क्या कुछ और कैसे बदल जाता है

  - Janan Malik

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Janan Malik

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari