tum ne kabhi socha hai | तुम ने कभी सोचा है

  - Janan Malik

tum ne kabhi socha hai
tumhaari ye gehre sannaaton mein doobi khaamoshi is daryooza-gar par kitni bhari padti hai
vo baatein jo
tumhaare mizaaj-e-muallaa ki nafaasaton pe giran guzarti hain mere liye kya maani rakhti hain
kya
kabhi tum ne pur-sukoot samundar ke andar bifri un lehron ki awaaz sooni hai jo kisi toofaan ka pesh-khema hoti hain
main ne sooni hai
mujh se poocho
tumhaari khaamoshi mein lipate kisi toofaan ka iron kya jaante ho tum
main ne suna hai
tumhaare honton se gauhar-e-naayaab ki tarah nikla ek ek lafz tumhaari ye thande meethe chashme jaisi baatein aur sheerin andaaz-e-sukhan sehra mein
chalte musaafir ki tarah mere vujood ko sairaab karta hai
main jo tumhaare dar ke aage apna daaman failaaye un naayaab motiyon ko chunne ki chaahat mein baithi rahti hoon
jise kabhi to tum na-muraad lautaa dete ho kabhi bahut meherbaan ho kar kuchh khairaat
us ke daaman mein daal jaate ho
jis ko main tumhaari galiyon ki daryooza-gar kisi qeemti asaase ki tarah
chun ke apni potli mein rakh leti hoon

तुम ने कभी सोचा है
तुम्हारी ये गहरे सन्नाटों में डूबी ख़ामुशी इस दरयूज़ा-गर पर कितनी भारी पड़ती है
वो बातें जो
तुम्हारे मिज़ाज-ए-मुअल्ला की नफ़ासतों पे गिराँ गुज़रती हैं मेरे लिए क्या मा'नी रखती हैं
क्या
कभी तुम ने पुर-सुकूत समुंदर के अंदर बिफरी उन लहरों की आवाज़ सुनी है जो किसी तूफ़ान का पेश-ख़ेमा होती हैं
मैं ने सुनी है
मुझ से पूछो
तुम्हारी ख़ामुशी में लिपटे किसी तूफ़ान का साइरन क्या जानते हो तुम
मैं ने सुना है
तुम्हारे होंटों से गौहर-ए-नायाब की तरह निकला एक एक लफ़्ज़ तुम्हारी ये ठंडे मीठे चश्मे जैसी बातें और शीरीं अंदाज़-ए-सुख़न सहरा में
चलते मुसाफ़िर की तरह मेरे वजूद को सैराब करता है
मैं जो तुम्हारे दर के आगे अपना दामन फैलाए उन नायाब मोतियों को चुनने की चाहत में बैठी रहती हूँ
जिसे कभी तो तुम ना-मुराद लौटा देते हो कभी बहुत मेहरबाँ हो कर कुछ ख़ैरात
उस के दामन में डाल जाते हो
जिस को मैं तुम्हारी गलियों की दरयूज़ा-गर किसी क़ीमती असासे की तरह
चुन के अपनी पोटली में रख लेती हूँ

  - Janan Malik

Bahana Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Janan Malik

Similar Moods

As you were reading Bahana Shayari Shayari