so rahi theen naddiyan aur jhuk gaye the barg-o-baar
bujh gaya tha khaak ki nabzon mein hasti ka sharaar
chaandni madhham si thi dariya ki lahren theen khamosh
be-khudi ki bazm mein toote pade the saaz-e-hosh
bheenee bheenee boo-e-gul raqs-e-hawa kuchh bhi na tha
sehan-e-gulshan mein udaasi ke siva kuchh bhi na tha
ik hijaab-e-teergi tha deeda-e-bedaar par
kuchh dhuaan sa chha raha tha husn ke anwaar par
is dhuen mein rooh ki taabindagi khote hue
main ne dekha nau-e-insaani ko gum hote hue
सो रही थीं नद्दियाँ और झुक गए थे बर्ग-ओ-बार
बुझ गया था ख़ाक की नब्ज़ों में हस्ती का शरार
चाँदनी मद्धम सी थी दरिया की लहरें थीं ख़मोश
बे-ख़ुदी की बज़्म में टूटे पड़े थे साज़-ए-होश
भीनी भीनी बू-ए-गुल रक़्स-ए-हवा कुछ भी न था
सेहन-ए-गुलशन में उदासी के सिवा कुछ भी न था
इक हिजाब-ए-तीरगी था दीदा-ए-बेदार पर
कुछ धुआँ सा छा रहा था हुस्न के अनवार पर
इस धुएँ में रूह की ताबिंदगी खोते हुए
मैं ने देखा नौ-ए-इंसानी को गुम होते हुए
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Jauhar Nizami
As you were reading Kamar Shayari Shayari