jaane kitne sapne dekhe
jeevan ke is roop nagar mein
varsha rut mein jaise musaafir
preet-dagar par prem-safar mein
sapne jin mein komal pariyaan
par failaaye dol rahi hain
aashaon ke geet ki lay par
amrit-ras ko ghol rahi hain
main ne socha meet sabhi hain
ye saara sansaar hai apna
saare jag ki reet yahi hai
kadvi neenden meetha sapna
dharti ki is fulwaari mein
chaand sitaaron ke darpan mein
main ne dekhi apni chaaya
jag mein sab apne hain to phir
koi kisi ka bairi kyun ho
honton par muskaan to bikhre
man mein uljhan theri kyun ho
जाने कितने सपने देखे
जीवन के इस रूप नगर में
वर्षा रुत में जैसे मुसाफ़िर
प्रीत-डगर पर प्रेम-सफ़र में
सपने जिन में कोमल परियाँ
पर फैलाए डोल रही हैं
आशाओं के गीत की लय पर
अमृत-रस को घोल रही हैं
मैं ने सोचा मीत सभी हैं
ये सारा संसार है अपना
सारे जग की रीत यही है
कड़वी नींदें मीठा सपना
धरती की इस फुलवारी में
चाँद सितारों के दर्पन में
मैं ने देखी अपनी छाया
जग में सब अपने हैं तो फिर
कोई किसी का बैरी क्यों हो
होंटों पर मुस्कान तो बिखरे
मन में उलझन ठेरी क्यों हो
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Jauhar Rahmani
As you were reading Khwab Shayari Shayari