shaam ho | शाम हो - Javaid Anwar

shaam ho
aam si shaam ho
jis ki had-bandiyo mein qafas bhi hon aur aashiyaan bhi
hawaon ki aahat pe khulte dariche bhi hon
aainon mein ghire nanhe munne parindon ka raksa-e-dam-e-vaapsi
har nafs par-b-par yoorish-e-raaegaan bhi
aam si shaam ho
lekin is shaam ke raaste mere ghar ja ruken
ghar ki dahleez par
meri maa
muskuraate hue mere giryaa dinon ki thakan choom le
shaam ki sarhadon se mu'azzin pukaare to
sab bhaai behnon ki chup mein meri chup bhi ho
shaam ki sej par baap ke jism se mere baazu ugen
jab munderon pe rakhe diye jagmagane lagen
tootte farsh par mera bhi aks ho
mera bhi naam ho
aam si shaam ho
shaam si shaam ho

शाम हो
आम सी शाम हो
जिस की हद-बंदियों में क़फ़स भी हों और आशियाँ भी
हवाओं की आहट पे खुलते दरीचे भी हों
आईनों में घिरे नन्हे मुन्ने परिंदों का रक़्स-ए-दम-ए-वापसीं
हर नफ़स पर-ब-पर यूरिश-ए-राएगाँ भी
आम सी शाम हो
लेकिन इस शाम के रास्ते मेरे घर जा रुकें
घर की दहलीज़ पर
मेरी माँ
मुस्कुराते हुए मेरे गिर्यां दिनों की थकन चूम ले
शाम की सरहदों से मुअज़्ज़िन पुकारे तो
सब भाई बहनों की चुप में मिरी चुप भी हो
शाम की सेज पर बाप के जिस्म से मेरे बाज़ू उगें
जब मुंडेरों पे रक्खे दिए जगमगाने लगें
टूटते फ़र्श पर मेरा भी अक्स हो
मेरा भी नाम हो
आम सी शाम हो
शाम सी शाम हो

- Javaid Anwar
0 Likes

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javaid Anwar

As you were reading Shayari by Javaid Anwar

Similar Writers

our suggestion based on Javaid Anwar

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari