ham ishq-e-majaazi par ilzaam ye dharte hain
ye ishq na ho yaaron is ishq se darte hain
pehle to ye kahte the har haal mein rah lenge
ab dekh ke haalon ko baaton se mukarte hain
kya khaak guzaarenge vo umr muhabbat mein
ik umr ka kahkar jo pal bhar hi theharte hain
aate hain jo is dil mein ik baat se hi yaaron
ik baat se hi goya dil se vo utarte hain
maayub mujhe kahkar waabasta hai auron se
oopar se sitam dekho sajte hain samvarte hain
tazleel hue itne ja kar ke khuli chat par
khud apne paron ko ham daanton se katarte hain
हम इश्क़-ए-मजाज़ी पर इल्ज़ाम ये धरते हैं
ये इश्क़ न हो यारों इस इश्क़ से डरते हैं
पहले तो ये कहते थे हर हाल में रह लेंगे
अब देख के हालों को बातों से मुकरते हैं
क्या ख़ाक गुज़ारेंगे वो उम्र मुहब्बत में
इक उम्र का कहकर जो पल भर ही ठहरते हैं
आते हैं जो इस दिल में इक बात से ही यारों
इक बात से ही गोया दिल से वो उतरते हैं
मायूब मुझे कहकर वाबस्ता है औरों से
ऊपर से सितम देखो सजते हैं सॅंवरते हैं
तज़लील हुए इतने जा कर के खुली छत पर
ख़ुद अपने परों को हम दाँतों से कतरते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by June Sahab
our suggestion based on June Sahab
As you were reading Zakhm Shayari Shayari