abhi se un ke liye itni be-qaraar na ho
kiya hai mujh ko bahut be-qaraar chheda hai
tumhaare sher suna kar tumhaare sar ki qasam
saheliyon ne mujhe baar baar chheda hai
kashish nahin hai tumhaare bina bahaaron mein
ye chat ye chaand sitaare udaas lagte hain
chaman ka rang naseem-e-sehr gulaab ke phool
nahin ho tum to ye saare udaas lagte hain
khabar sooni hai kabhi jab tumhaare aane ki
main aaine mein dulhan ban ke muskuraai hoon
gai hoon daaman-e-dil ko khushi se bharne magar
jahaan bhar ki udaasi samet laai hoon
kahi pe gaaye gaye hain jo geet baabul ke
to ajnabi se khayaalon mein kho gai hoon main
tumhaari yaad ke seene pe baar-ha aazar
tasavvuraat ka sar rakh ke so gai hoon main
tumhein yaqeen na hoga akela kamre mein
main apni jaan se pyaare khutoot padhti hoon
tamaam raat tumhein yaad karti rahti hoon
tamaam raat tumhaare khutoot padhti hoon
tum aa bhi jaao ki guzre hue dinon ki tarah
sulag na jaayen kahi hasraton ki tasveerein
udaas pa ke na chheden saheliyaan mujh ko
badal bhi do meri tanhaaiyon ki taqdeeren
अभी से उन के लिए इतनी बे-क़रार न हो
किया है मुझ को बहुत बे-क़रार छेड़ा है
तुम्हारे शेर सुना कर तुम्हारे सर की क़सम
सहेलियों ने मुझे बार बार छेड़ा है
कशिश नहीं है तुम्हारे बिना बहारों में
ये छत ये चाँद सितारे उदास लगते हैं
चमन का रंग नसीम-ए-सहर गुलाब के फूल
नहीं हो तुम तो ये सारे उदास लगते हैं
ख़बर सुनी है कभी जब तुम्हारे आने की
मैं आइने में दुल्हन बन के मुस्कुराई हूँ
गई हूँ दामन-ए-दिल को ख़ुशी से भरने मगर
जहान भर की उदासी समेट लाई हूँ
कहीं पे गाए गए हैं जो गीत बाबुल के
तो अजनबी से ख़यालों में खो गई हूँ मैं
तुम्हारी याद के सीने पे बार-हा 'आज़र'
तसव्वुरात का सर रख के सो गई हूँ मैं
तुम्हें यक़ीन न होगा अकेले कमरे में
मैं अपनी जान से प्यारे ख़ुतूत पढ़ती हूँ
तमाम रात तुम्हें याद करती रहती हूँ
तमाम रात तुम्हारे ख़ुतूत पढ़ती हूँ
तुम आ भी जाओ कि गुज़रे हुए दिनों की तरह
सुलग न जाएँ कहीं हसरतों की तस्वीरें
उदास पा के न छेड़ें सहेलियाँ मुझ को
बदल भी दो मिरी तन्हाइयों की तक़दीरें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kafeel Aazar Amrohvi
our suggestion based on Kafeel Aazar Amrohvi
As you were reading Basant Shayari Shayari