sukoon thoda sa paaya dhoop ke thande makaanon mein
bahut jalne laga tha jism barfeeli chataanon mein
kab aaoge ye ghar ne mujh se chalte waqt poocha tha
yahi awaaz ab tak goonjti hai mere kaanon mein
janaaza meri tanhaai ka le kar log jab nikle
main khud shaamil tha apni zindagi ke nouha-khwaanoon mein
meri mahroomiyaan jab pattharon ke shehar se guzriin
chhupaaya sar tiri yaadon ke toote saayebaanon mein
mujhe meri ana ke khanjaron ne qatl kar daala
bahaana ye bhi ik bechaargi ka tha bahaanon mein
tamasha ham bhi apni bebaasi ka dekh lete hain
tiri yaadon ke phoolon ko saja kar phooldaanon mein
zameen pairo'n ke chaale roz chun leti hai palkon se
takhayyul roz le udta hai mujh ko aasmaanon mein
main apne-aap se har dam khafa rehta hoon yun aazar
puraani dushmani ho jis tarah do khaandaanon mein
सुकूँ थोड़ा सा पाया धूप के ठंडे मकानों में
बहुत जलने लगा था जिस्म बर्फ़ीली चटानों में
कब आओगे ये घर ने मुझ से चलते वक़्त पूछा था
यही आवाज़ अब तक गूँजती है मेरे कानों में
जनाज़ा मेरी तन्हाई का ले कर लोग जब निकले
मैं ख़ुद शामिल था अपनी ज़िंदगी के नौहा-ख़्वानों में
मिरी महरूमियाँ जब पत्थरों के शहर से गुज़रीं
छुपाया सर तिरी यादों के टूटे साएबानों में
मुझे मेरी अना के ख़ंजरों ने क़त्ल कर डाला
बहाना ये भी इक बेचारगी का था बहानों में
तमाशा हम भी अपनी बेबसी का देख लेते हैं
तिरी यादों के फूलों को सजा कर फूलदानों में
ज़मीं पैरों के छाले रोज़ चुन लेती है पलकों से
तख़य्युल रोज़ ले उड़ता है मुझ को आसमानों में
मैं अपने-आप से हर दम ख़फ़ा रहता हूँ यूँ 'आज़र'
पुरानी दुश्मनी हो जिस तरह दो ख़ानदानों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kafeel Aazar Amrohvi
our suggestion based on Kafeel Aazar Amrohvi
As you were reading Qatil Shayari Shayari