maadar-e-hind ke fankaar the mirza ghalib
apne fan mein bade hushyaar the mirza ghalib
aap ka naam asadullah tha nau-shah laqab
mirza ghalib se hue baad mein ma'roof-e-adab
aaj bhi padh ke kalaam aap ka hairat mein hain sab
zulf-e-urdu mein girftaar the mirza ghalib
maadar-e-hind ke fankaar the mirza ghalib
akbaraabad mein paida hue dehli mein rahe
ahd-e-tifli hi se duniya ke bade zulm sahe
ab bhi har ahl-e-sukhan aap ko ustaad kahe
saare shu'ara ke alam-daar the mirza ghalib
maadar-e-hind ke fankaar the mirza ghalib
tang-dasti mein bhi chhodaa na wafa ka daaman
muflisi mein bhi na apnaaye khushamad ke chalan
khoon-e-jazbaat se shaadaab kiya baagh-e-sukhan
fitratan shaayar-e-khuddaar the mirza ghalib
maadar-e-hind ke fankaar the mirza ghalib
aap par faarsi shu'ara ka bhi tha khoob asar
mas'ala khidmat-e-urdu ka bhi tha peshe-e-nazar
apne ashaar ki azmat se bhi waqif the magar
meer jee ke bhi taraf-daar the mirza ghalib
maadar-e-hind ke fankaar the mirza ghalib
khat-naveesi ka diya ek anokha andaaz
goonj uthi bazm-e-adab mein ye niraali awaaz
aap maidaan-e-sukhan mein bhi the sab se mumtaaz
saath hi ik bade nassaar the mirza ghalib
maadar-e-hind ke fankaar the mirza ghalib
be-niyaaz-e-gham-o-aalaam har ik fikr se door
ho museebat mein bhi rahte the hamesha masroor
aaj bhi jin ke latife hain jahaan mein mashhoor
muskuraate hue kirdaar the mirza ghalib
maadar-e-hind ke fankaar the mirza ghalib
मादर-ए-हिन्द के फ़नकार थे मिर्ज़ा 'ग़ालिब'
अपने फ़न में बड़े हुश्यार थे मिर्ज़ा 'ग़ालिब'
आप का नाम असदुल्लाह था नौ-शाह लक़ब
मिर्ज़ा ग़ालिब से हुए बाद में मारूफ़-ए-अदब
आज भी पढ़ के कलाम आप का हैरत में हैं सब
ज़ुल्फ़-ए-उर्दू में गिरफ़्तार थे मिर्ज़ा ग़ालिब
मादर-ए-हिन्द के फ़नकार थे मिर्ज़ा ग़ालिब
अकबराबाद में पैदा हुए देहली में रहे
अहद-ए-तिफ़्ली ही से दुनिया के बड़े ज़ुल्म सहे
अब भी हर अहल-ए-सुख़न आप को उस्ताद कहे
सारे शोअ'रा के अलम-दार थे मिर्ज़ा ग़ालिब
मादर-ए-हिन्द के फ़नकार थे मिर्ज़ा 'ग़ालिब'
तंग-दस्ती में भी छोड़ा न वफ़ा का दामन
मुफ़्लिसी में भी न अपनाए ख़ुशामद के चलन
ख़ून-ए-जज़बात से शादाब किया बाग़-ए-सुख़न
फ़ितरतन शायर-ए-ख़ुद्दार थे मिर्ज़ा 'ग़ालिब'
मादर-ए-हिन्द के फ़नकार थे मिर्ज़ा ग़ालिब
आप पर फ़ारसी शोअ'रा का भी था ख़ूब असर
मसअला ख़िदमत-ए-उर्दू का भी था पेश-ए-नज़र
अपने अशआ'र की अज़्मत से भी वाक़िफ़ थे मगर
'मीर' जी के भी तरफ़-दार थे मिर्ज़ा 'ग़ालिब'
मादर-ए-हिन्द के फ़नकार थे मिर्ज़ा 'ग़ालिब'
ख़त-नवीसी का दिया एक अनोखा अंदाज़
गूँज उठी बज़्म-ए-अदब में ये निराली आवाज़
आप मैदान-ए-सुख़न में भी थे सब से मुम्ताज़
साथ ही इक बड़े नस्सार थे मिर्ज़ा 'ग़ालिब'
मादर-ए-हिन्द के फ़नकार थे मिर्ज़ा 'ग़ालिब'
बे-नियाज़-ए-ग़म-ओ-आलाम हर इक फ़िक्र से दूर
हो मुसीबत में भी रहते थे हमेशा मसरूर
आज भी जिन के लतीफ़े हैं जहाँ में मशहूर
मुस्कुराते हुए किरदार थे मिर्ज़ा 'ग़ालिब'
मादर-ए-हिन्द के फ़नकार थे मिर्ज़ा 'ग़ालिब'
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Ahmed Siddiqui
our suggestion based on Kaif Ahmed Siddiqui
As you were reading Poverty Shayari Shayari