tabaahi ka apni nishaan chhod aaye
warq-dar-warq dastaan chhod aaye
har ik ajnabi se pata poochte hain
tujhe zindagi ham kahaan chhod aaye
wahi log jeene ka fan jaante hain
jo ehsaas-e-sood-o-ziyaan chhod aaye
nikal aaye tanhaa tiri rah-guzar par
bhatkne ko ham kaarwaan chhod aaye
तबाही का अपनी निशाँ छोड़ आए
वरक़-दर-वरक़ दास्ताँ छोड़ आए
हर इक अजनबी से पता पूछते हैं
तुझे ज़िंदगी हम कहाँ छोड़ आए
वही लोग जीने का फ़न जानते हैं
जो एहसास-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ छोड़ आए
निकल आए तन्हा तिरी रह-गुज़र पर
भटकने को हम कारवाँ छोड़ आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Azimabadi
our suggestion based on Kaif Azimabadi
As you were reading Hunar Shayari Shayari