nafs nafs mein hoon ik boo-e-sad-gulaab liye
main jaagta hoon nigaahon mein tere khwaab liye
hamaare ahad ke logon ko kya hua yaaro
vo jee rahe hain magar ret ka saraab liye
main bhool saka nahin hasrat-e-nazar us ki
vo ek shakhs jo guzra hai iztiraab liye
udaas raat ki tareekiyo ne chheda hai
ab aa bhi jaao nigaahon mein mahtaab liye
ye chilchilaati hui dhoop jal raha hai badan
guzar rahi hai yoonhi hasrat-e-sahaab liye
नफ़स नफ़स में हूँ इक बू-ए-सद-गुलाब लिए
मैं जागता हूँ निगाहों में तेरे ख़्वाब लिए
हमारे अहद के लोगों को क्या हुआ यारो
वो जी रहे हैं मगर रेत का सराब लिए
मैं भूल सकता नहीं हसरत-ए-नज़र उस की
वो एक शख़्स जो गुज़रा है इज़्तिराब लिए
उदास रात की तारीकियों ने छेड़ा है
अब आ भी जाओ निगाहों में माहताब लिए
ये चिलचिलाती हुई धूप जल रहा है बदन
गुज़र रही है यूँही हसरत-ए-सहाब लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Azimabadi
our suggestion based on Kaif Azimabadi
As you were reading Neend Shayari Shayari