aish-o-gham zindagi ke phere hain | ऐश-ओ-ग़म ज़िंदगी के फेरे हैं

  - Kaif Azimabadi

aish-o-gham zindagi ke phere hain
shab ki aaghosh mein savere hain

may-kade se wafa ki manzil tak
ham faqeeron ke here-phere hain

mujh ko mat dekh yun hiqaarat se
main ne rukh zindagi ke phere hain

un ki zulfon ki narm chaanv mein
zindagi ke haseen savere hain

main hoon me'maar-e-zindagi ai kaif
dono aalam ke husn mere hain

ऐश-ओ-ग़म ज़िंदगी के फेरे हैं
शब की आग़ोश में सवेरे हैं

मय-कदे से वफ़ा की मंज़िल तक
हम फ़क़ीरों के हेरे-फेरे हैं

मुझ को मत देख यूँ हिक़ारत से
मैं ने रुख़ ज़िंदगी के फेरे हैं

उन की ज़ुल्फ़ों की नर्म छाँव में
ज़िंदगी के हसीं सवेरे हैं

मैं हूँ मे'मार-ए-ज़िंदगी ऐ 'कैफ़'
दोनों आलम के हुस्न मेरे हैं

  - Kaif Azimabadi

Nazakat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Azimabadi

As you were reading Shayari by Kaif Azimabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Azimabadi

Similar Moods

As you were reading Nazakat Shayari Shayari