ye deewane kabhi paabandiyo ka gham nahin lenge | ये दीवाने कभी पाबंदियों का ग़म नहीं लेंगे - Kaleem Aajiz

ye deewane kabhi paabandiyo ka gham nahin lenge
garebaan chaak jab tak kar na lenge dam nahin lenge

lahu denge to lenge pyaar moti hum nahin lenge
humein phoolon ke badle phool do shabnam nahin lenge

ye gham kis ne diya hai pooch mat ai hum-nasheen hum se
zamaana le raha hai naam us ka hum nahin lenge

mohabbat karne waale bhi ajab khuddaar hote hain
jigar par zakham lenge zakham par marham nahin lenge

gham-e-dil hi ke maaron ko gham-e-ayyaam bhi de do
gham itna lene waale kya ab itna gham nahin lenge

sanwaare ja rahe hain hum uljhti jaati hain zulfen
tum apne zimma lo ab ye bakheda hum nahin lenge

shikaayat un se karna go museebat mol lena hai
magar aajiz ghazal hum be-sunaaye dam nahin lenge

ये दीवाने कभी पाबंदियों का ग़म नहीं लेंगे
गरेबाँ चाक जब तक कर न लेंगे दम नहीं लेंगे

लहू देंगे तो लेंगे प्यार मोती हम नहीं लेंगे
हमें फूलों के बदले फूल दो शबनम नहीं लेंगे

ये ग़म किस ने दिया है पूछ मत ऐ हम-नशीं हम से
ज़माना ले रहा है नाम उस का हम नहीं लेंगे

मोहब्बत करने वाले भी अजब ख़ुद्दार होते हैं
जिगर पर ज़ख़्म लेंगे ज़ख़्म पर मरहम नहीं लेंगे

ग़म-ए-दिल ही के मारों को ग़म-ए-अय्याम भी दे दो
ग़म इतना लेने वाले क्या अब इतना ग़म नहीं लेंगे

सँवारे जा रहे हैं हम उलझती जाती हैं ज़ुल्फ़ें
तुम अपने ज़िम्मा लो अब ये बखेड़ा हम नहीं लेंगे

शिकायत उन से करना गो मुसीबत मोल लेना है
मगर 'आजिज़' ग़ज़ल हम बे-सुनाए दम नहीं लेंगे

- Kaleem Aajiz
0 Likes

Rose Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Rose Shayari Shayari