hayaat aur ab mere kaam ki nahi hai | हयात और अब मेरे काम की नही है

  - Kanor

hayaat aur ab mere kaam ki nahi hai
umr baaki hai magar mere naam ki nahi hai

hai waajib usse bichhad ke mar jaana
aur ho jaana badnaam ki nahi hai

sukhe mere hothon ko aakar tar karna
pyaas tere labon ki hai jaam ki nahi hai

watan ke liye tumhe khoon bhi dena hoga
ye zameen hak ki hai haraam ki nahi hai

maut nahi jo tum chain se so jaao
ye zindagi hai aisho-aaraam ki nahi hai

agar tumhein usko manana nahi aata
to mohabbat tumhaare kaam ki nahi hai

ye sukhun to mujhe kehne pade kanor
wagarana ye tahreer mere kalaam ki nahi hai

हयात और अब मेरे काम की नही है
उम्र बाकी है मग़र मेरे नाम की नही है

है वाजिब उससे बिछड़ के मर जाना
और हो जाना बदनाम की नही है

सूखे मेरे होठों को आकर तर करना
प्यास तेरे लबों की है जाम की नही है

वतन के लिए तुम्हे ख़ून भी देना होगा
ये ज़मीं हक की है हराम की नही है

मौत नही जो तुम चैन से सो जाओ
ये ज़िंदगी है ऐशोआराम की नही है

अगर तुम्हें उसको मनाना नही आता
तो मोहब्बत तुम्हारे काम की नही है

ये सुख़न तो मुझे कहने पड़े 'कनोर'
वगरना ये तहरीर मेरे कलाम की नही है

  - Kanor

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kanor

As you were reading Shayari by Kanor

Similar Writers

our suggestion based on Kanor

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari