dayaar ae khwaab tha tum the tamaam duniya thi
kisi ne aa ke jagaaya to main akela tha
koi husaini na nikla mere rafeeko mein
diya bujha ke jalaya to main akela tha
tumhaara haath nahi tha vo mauj ae giryaa thi
meri samajh me jab aaya to main akela tha
dayaar ae gair gaya tha main khushiyaan laane ko
palat ke gaav jab aaya to main akela tha
kahaan se aayi hai aakhir teri talab mujh mein
mujhe khuda ne banaya to main akela tha
दयार ए ख़्वाब था तुम थे तमाम दुनिया थी
किसी ने आ के जगाया तो मैं अकेला था
कोई हुसैनी न निकला मेरे रफ़ीको में
दिया बुझा के जलाया तो मैं अकेला था
तुम्हारा हाथ नही था वो मौज ए गिर्या थी
मेरी समझ मे जब आया तो मैं अकेला था
दयार ए गैर गया था मैं खुशियाँ लाने को
पलट के गाँव जब आया तो मैं अकेला था
कहाँ से आयी है आखिर तेरी तलब मुझ में
मुझे ख़ुदा ने बनाया तो मैं अकेला था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khalid Nadeem Shani
our suggestion based on Khalid Nadeem Shani
As you were reading Shama Shayari Shayari