main business man hoon jaanam | "मैं बिज़नेस-मैन हूँ जानम"

  - Khalil Ur Rehman Qamar

main business man hoon jaanam

meri shohrat mera danka
mere ejaz ka sunkar
kabhi ye na samajh lena
main choti ka likhaari hoon
main business man hoon jaanam
main chhota sa byopaari hoon

meri aarat pe barson se
jo mehnge daam bikta hai
vo tere gham ka sauda hai
teri aankhen tere aansu
teri chaahat tere jazbe
yahan selfon pe rakhe hain
wahi to maine beche hain

tumhaari baat chhid jaaye to baatein bech deta hoon
zaroorat kuchh ziyaada ho to yaadein bech deta hoon

tumhaare naam ke sadke bahut paisa kamaaya hai
nayi gaadi khareedi hai naya bangla banaya hai

magar kyun mujhko lagta hai
mere andar ka byopaari
tumheen ko bech aaya hai
main business man hoon jaanam
main business man hoon jaanam

"मैं बिज़नेस-मैन हूँ जानम"

मेरी शोहरत मेरा डंका
मेरे एजाज़ का सुनकर
कभी ये न समझ लेना
मैं चोटी का लिखारी हूँ
मैं बिज़नेस-मैन हूँ जानम
मैं छोटा सा ब्योपारी हूँ

मेरी आरत पे बरसों से
जो महँगे दाम बिकता है
वो तेरे ग़म का सौदा है
तेरी आँखें तेरे आँसू
तेरी चाहत तेरे जज़्बे
यहाँ सेल्फों पे रखे हैं
वही तो मैंने बेचे हैं

तुम्हारी बात छिड़ जाए तो बातें बेच देता हूँ
ज़रूरत कुछ ज़ियादा हो तो यादें बेच देता हूँ

तुम्हारे नाम के सदके बहुत पैसा कमाया है
नई गाड़ी ख़रीदी है नया बँगला बनाया है

मगर क्यूँ मुझको लगता है
मेरे अंदर का ब्योपारी
तुम्हीं को बेच आया है
मैं बिज़नेस-मैन हूँ जानम
मैं बिज़नेस-मैन हूँ जानम

  - Khalil Ur Rehman Qamar

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khalil Ur Rehman Qamar

As you were reading Shayari by Khalil Ur Rehman Qamar

Similar Writers

our suggestion based on Khalil Ur Rehman Qamar

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari