ik pal mein ik sadi ka maza ham se poochiye
do din ki zindagi ka maza ham se poochiye
bhule hain rafta rafta unhen muddaton mein ham
qiston mein khudkushi ka maza ham se poochiye
aagaz-e-aashiqi ka maza aap jaaniye
anjaam-e-aashiqi ka maza ham se poochiye
jalte diyon mein jalte gharo jaisi zau kahaan
sarkaar raushni ka maza ham se poochiye
vo jaan hi gaye ki hamein unse pyaar hai
aankhon ki mukhbirii ka maza hamse poochiye
hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah
hansiye magar hasi ka maza ham se poochiye
ham tauba kar ke mar gaye be-maut ai khumaar
tauheen-e-may-kashi ka maza ham se poochiye
इक पल में इक सदी का मज़ा हम से पूछिए
दो दिन की ज़िंदगी का मज़ा हम से पूछिए
भूले हैं रफ़्ता रफ़्ता उन्हें मुद्दतों में हम
क़िस्तों में ख़ुदकुशी का मज़ा हम से पूछिए
आग़ाज़-ए-आशिक़ी का मज़ा आप जानिए
अंजाम-ए-आशिक़ी का मज़ा हम से पूछिए
जलते दियों में जलते घरों जैसी ज़ौ कहाँ
सरकार रौशनी का मज़ा हम से पूछिए
वो जान ही गए कि हमें उनसे प्यार है
आँखों की मुख़बिरी का मज़ा हमसे पूछिए
हँसने का शौक़ हमको भी था आप की तरह
हँसिए मगर हँसी का मज़ा हम से पूछिए
हम तौबा कर के मर गए बे-मौत ऐ 'ख़ुमार'
तौहीन-ए-मय-कशी का मज़ा हम से पूछिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khumar Barabankvi
our suggestion based on Khumar Barabankvi
As you were reading Khushi Shayari Shayari