tu chahiye na teri wafa chahiye mujhe
kuchh bhi na tere gham ke siva chahiye mujhe
marne se pehle shakl hi ik baar dekh luun
ai maut zindagi ka pata chahiye mujhe
ya rab mua'af kar ke na de karb-e-infiaal
main ne khataayein ki hain saza chahiye mujhe
khaamoshi-e-hayaat se ukta gaya hoon main
ab chahe dil hi toote sada chahiye mujhe
un mast mast aankhon mein aansu are gazab
ye ishq hai to qahr-e-khuda chahiye mujhe
naaseh naseehaton ka zamaana guzar gaya
ab pyaare sirf teri dua chahiye mujhe
har dard ko dava ki zaroorat hai ai khumaar
jo dard khud ho apni dava chahiye mujhe
तू चाहिए न तेरी वफ़ा चाहिए मुझे
कुछ भी न तेरे ग़म के सिवा चाहिए मुझे
मरने से पहले शक्ल ही इक बार देख लूँ
ऐ मौत ज़िंदगी का पता चाहिए मुझे
या रब मुआ'फ़ कर के न दे कर्ब-ए-इंफ़िआल
मैं ने ख़ताएँ की हैं सज़ा चाहिए मुझे
ख़ामोशी-ए-हयात से उकता गया हूँ मैं
अब चाहे दिल ही टूटे सदा चाहिए मुझे
उन मस्त मस्त आँखों में आँसू अरे ग़ज़ब
ये इश्क़ है तो क़हर-ए-ख़ुदा चाहिए मुझे
नासेह नसीहतों का ज़माना गुज़र गया
अब प्यारे सिर्फ़ तेरी दुआ चाहिए मुझे
हर दर्द को दवा की ज़रूरत है ऐ 'ख़ुमार'
जो दर्द ख़ुद हो अपनी दवा चाहिए मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khumar Barabankvi
our suggestion based on Khumar Barabankvi
As you were reading Qabr Shayari Shayari