kya hua husn hai hum-safar ya nahin | क्या हुआ हुस्न है हम-सफ़र या नहीं

  - Khumar Barabankvi

kya hua husn hai hum-safar ya nahin
ishq manzil hi manzil hai rasta nahin

do parinde ude aankh nam ho gai
aaj samjha ki main tujh ko bhoola nahin

tark-e-may ko abhi din hi kitne hue
kuchh kaha may ko zaahid to achha na

har nazar meri ban jaati zanjeer-e-paa
us ne jaate hue mud ke dekha nahin

chhod bhi de mera saath ai zindagi
mujh ko tujh se nadaamat hai shikwa nahin

tu ne tauba to kar li magar ai khumaar
tujh ko rahmat pe shaayad bharosa nahin

क्या हुआ हुस्न है हम-सफ़र या नहीं
इश्क़ मंज़िल ही मंज़िल है रस्ता नहीं

दो परिंदे उड़े आँख नम हो गई
आज समझा कि मैं तुझ को भूला नहीं

तर्क-ए-मय को अभी दिन ही कितने हुए
कुछ कहा मय को ज़ाहिद तो अच्छा न

हर नज़र मेरी बन जाती ज़ंजीर-ए-पा
उस ने जाते हुए मुड़ के देखा नहीं

छोड़ भी दे मिरा साथ ऐ ज़िंदगी
मुझ को तुझ से नदामत है शिकवा नहीं

तू ने तौबा तो कर ली मगर ऐ 'ख़ुमार'
तुझ को रहमत पे शायद भरोसा नहीं

  - Khumar Barabankvi

Sharaab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khumar Barabankvi

As you were reading Shayari by Khumar Barabankvi

Similar Writers

our suggestion based on Khumar Barabankvi

Similar Moods

As you were reading Sharaab Shayari Shayari