sadaqat ki ibadat mein bagaavat kar | सदाक़त की इबादत में, बग़ावत कर

  - Kinshu Sinha

sadaqat ki ibadat mein bagaavat kar
muhabbat ki hifaazat mein bagaavat kar

shikaayat ko samay duniya nahin degi
asar hai bas bagaavat mein bagaavat kar

na kaafir hai na duniya mein khuda koi
marengay sab jahaalat mein bagaavat kar

kaneizon se gale mil unke aansu ponch
kami kar de rivaayat mein bagaavat kar

koi ilzaam aaye tere sar jhoota
khada ho ja vakaalat mein bagaavat kar

wahi chaahat jise duniya ne hai chheena
usi chaahat ki chaahat mein bagaavat kar

tera mazhab jo hai ik pinjra hi hai
sukoon hai bas zamaanat mein bagaavat kar

hain aankhen bees tere naam ke oopar
bahut hai bhaar izzat mein bagaavat kar

jise haan karta tha bilkul na kar de ab
sabhi ko daal hairat mein bagaavat kar

सदाक़त की इबादत में, बग़ावत कर
मुहब्बत की हिफ़ाज़त में, बग़ावत कर

शिकायत को समय दुनिया नहीं देगी
असर है बस बग़ावत में, बग़ावत कर

न काफ़िर है न दुनिया में ख़ुदा कोई
मरेंगे सब जहालत में, बग़ावत कर

कनीज़ों से गले मिल, उनके आँसू पोंछ
कमी कर दे रिवायत में, बग़ावत कर

कोई इल्ज़ाम आए तेरे सर झूठा
खड़ा हो जा वकालत में, बग़ावत कर

वही चाहत जिसे दुनिया ने है छीना
उसी चाहत की चाहत में, बग़ावत कर

तेरा मज़हब जो है, इक पिंजरा ही है
सुकूँ है बस ज़मानत में, बग़ावत कर

हैं आँखें बीस तेरे नाम के ऊपर
बहुत है भार इज्ज़त में, बग़ावत कर

जिसे ‛हाँ’ करता था, बिल्कुल ‛न’ कर दे अब
सभी को डाल हैरत में, बग़ावत कर

  - Kinshu Sinha

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kinshu Sinha

As you were reading Shayari by Kinshu Sinha

Similar Writers

our suggestion based on Kinshu Sinha

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari