naadaan tamannaon ki khwaahish mein marengay | नादान तमन्नाओं की ख़्वाहिश में मरेंगे - Daagh Aligarhi

naadaan tamannaon ki khwaahish mein marengay
jazbaat ke ye panchi bhi lagzish mein marengay

behtar hai zamaane se chhupaaye hue rakhna
hum log muhabbat ki numaish mein marengay

khaamosh rahein tab bhi halaqat ki hain zad mein
bole jo sitamgar ki sataish mein marengay

dushman ke to kheme se nikal aaye hain zinda
hai dost ye tay teri navaazish mein marengay

marne ki dua ki to humein maut na aayi
lagta hai ki jeene ki hi koshish mein marengay

is daur ae jihaalat mein sabhi achhe sukhnavar
ik roz hunar teri sifaarish mein marengay

नादान तमन्नाओं की ख़्वाहिश में मरेंगे
जज़्बात के ये पंछी भी लग़्ज़िश में मरेंगे

बेहतर है ज़माने से छुपाए हुए रखना
हम लोग मुहब्बत की नुमाइश में मरेंगे

ख़ामोश रहें तब भी हलाक़त की हैं ज़द में
बोले जो सितमग़र की सताइश में, मरेंगे

दुश्मन के तो ख़ेमे से निकल आये हैं ज़िंदा
है दोस्त ये तय तेरी नवाज़िश में मरेंगे

मरने की दुआ की तो हमें मौत न आयी
लगता है कि जीने की ही कोशिश में मरेंगे

इस दौर ए जिहालत में सभी अच्छे सुख़नवर
इक रोज़ हुनर तेरी सिफ़ारिश में मरेंगे

- Daagh Aligarhi
3 Likes

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daagh Aligarhi

As you were reading Shayari by Daagh Aligarhi

Similar Writers

our suggestion based on Daagh Aligarhi

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari