kahoon kuchh agar ho ijaazat | कहूँ कुछ अगर हो इजाज़त

  - KUNAL

kahoon kuchh agar ho ijaazat
khuda jhoota aur jhoothi jannat

hamesha dil apne kii karna
ghulaami hai ya baadshaahat

barabar kiye tukde dil ke
kii hai naam sab ke wasiyyat

tujhe maang leta khuda se
nahin maangne kii hai aadat

hua tha kabhi ishq mujh ko
kai din rahi sar ye aafat

mila baad mar kar munaafa
lagi zindagi ban ke laagat

khuda bhi banaya gaya main
na poori hui phir bhi mannat

meri yaad aati nahin kyun
hui khatm meri zaroorat

hai ghar jail ya jail hai ghar
wahi chaar deewarein aur chhat

teri photo hai wallpaper
nahin phone kii hai mujhe lat

nahin phone badla hai ab tak
likhe the isi se tujhe khat

jee maine bhi kar li hai shaadi
hai afsurdagi meri aurat

कहूँ कुछ अगर हो इजाज़त
ख़ुदा झूठा और झूठी जन्नत

हमेशा दिल अपने की करना
ग़ुलामी है या बादशाहत

बराबर किए टुकड़े दिल के
की है नाम सब के वसिय्यत

तुझे माँग लेता ख़ुदा से
नहीं माँगने की है आदत

हुआ था कभी इश्क़ मुझ को
कई दिन रही सर ये आफ़त

मिला बाद मर कर मुनाफ़ा
लगी ज़िंदगी बन के लागत

ख़ुदा भी बनाया गया मैं
न पूरी हुई फिर भी मन्नत

मेरी याद आती नहीं क्यूँ
हुई ख़त्म मेरी ज़रूरत ?

है घर जेल या जेल है घर
वही चार दीवारें और छत

तेरी फ़ोटो है वॉलपेपर
नहीं फ़ोन की है मुझे लत

नहीं फ़ोन बदला है अब तक
लिखे थे इसी से तुझे ख़त

जी मैंने भी कर ली है शादी
है अफ़सुर्दगी मेरी औरत

  - KUNAL

More by KUNAL

As you were reading Shayari by KUNAL

Similar Writers

our suggestion based on KUNAL

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari