ye log sabhi yun roothe hain is kaaran rishte toote hain
ye sab ke sab ik jaise hain aur in sabse ham anoothe hain
mat dhoondh hamein baad aandhi ke dharti par bikhre dheron mein
ham vo ziddi patte hain jo ab tak shaakhon se latke hain
kyaari ko ishq ki vaise to ashkon se seencha karte hain
hai zameen-e-dil par banjar yaa sthaayi taur p sukhe hain
sar par baitaai jaati hai tu to chappal bhagwaan ki hai
chaukhat p utaare jaate hain ham keechad lipate joote hain
nirmalta mein bas farq itna tujh mumin aur mujh kaafir ki
tum chhappan bhog se paawan ho ham shabri ber se jhoothe hain
ये लोग सभी यूँ रूठे हैं इस कारण रिश्ते टूटे हैं
ये सब के सब इक जैसे हैं और इन सबसे हम अनूठे हैं
मत ढूँढ हमें बाद आँधी के धरती पर बिखरे ढेरों में
हम वो ज़िद्दी पत्ते हैं जो अब तक शाख़ों से लटके हैं
क्यारी को इश्क़ की वैसे तो अश्कों से सींचा करते हैं
है ज़मीन-ए-दिल पर बंजर याँ स्थायी तौर प सूखे हैं
सर पर बैठाई जाती है तू तो चप्पल भगवान की है
चौखट प उतारे जाते हैं हम कीचड़ लिपटे जूते हैं
निर्मलता में बस फ़र्क़ इतना तुझ मोमिन और मुझ काफ़िर की
तुम छप्पन भोग से पावन हो हम शबरी बेर से झूठे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by KUNAL
our suggestion based on KUNAL
As you were reading Bijli Shayari Shayari