kitna dushwaar hai jazbon ki tijaarat karna | कितना दुश्वार है जज़्बों की तिजारत करना

  - Liaqat Jafri

kitna dushwaar hai jazbon ki tijaarat karna
ek hi shakhs se do baar mohabbat karna

jis ko tum chaaho koi aur na chahe us ko
is ko kahte hain mohabbat mein siyaasat karna

surmai aankh haseen jism gulaabi chehra
is ko kahte hain kitaabat pe kitaabat karna

dil ki takhti pe bhi aayaat likhi rahti hain
waqt mil jaaye to un ki bhi tilaavat karna

dekh lena badi taskin milegi tum ko
khud se ik roz kabhi apni shikaayat karna

jis mein kuchh qabren hon kuchh chehre hon kuchh yaadein hon
kitna dushwaar hai us shehar se hijrat karna

कितना दुश्वार है जज़्बों की तिजारत करना
एक ही शख़्स से दो बार मोहब्बत करना

जिस को तुम चाहो कोई और न चाहे उस को
इस को कहते हैं मोहब्बत में सियासत करना

सुरमई आँख हसीं जिस्म गुलाबी चेहरा
इस को कहते हैं किताबत पे किताबत करना

दिल की तख़्ती पे भी आयात लिखी रहती हैं
वक़्त मिल जाए तो उन की भी तिलावत करना

देख लेना बड़ी तस्कीन मिलेगी तुम को
ख़ुद से इक रोज़ कभी अपनी शिकायत करना

जिस में कुछ क़ब्रें हों कुछ चेहरे हों कुछ यादें हों
कितना दुश्वार है उस शहर से हिजरत करना

  - Liaqat Jafri

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Liaqat Jafri

As you were reading Shayari by Liaqat Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Liaqat Jafri

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari