tumhein ab is se ziyaada saza nahin doonga | तुम्हें अब इस से ज़ियादा सज़ा नहीं दूँगा

  - Liaqat Jafri

tumhein ab is se ziyaada saza nahin doonga
duaaein doonga magar bad-dua nahin doonga

tiri taraf se ladoopunga main teri har ik jang
rahoonga saath magar hausla nahin doonga

tiri zabaan pe mauqoof mere haath ka lams
nivaala doonga magar zaa'ika nahin doonga

main pehle bose se na-aashnaa rakhoonga tumhein
phir is ke ba'ad tumhein doosra nahin doonga

phir ek baar guzar jaao mere oopar se
main is ke ba'ad tumhein raasta nahin doonga

ki tu talash kare aur main tujh ko mil jaaun
main teri aankh ko itni saza nahin doonga

bhagaaye rakkhoonga apni adaalaton mein tumhein
tamaam umr tumhein faisla nahin doonga

main us ke saath hoon jo uth ke phir khada ho jaaye
main tere shehar ko ab zalzala nahin doonga

tiri ana ke liye sirf ye saza hai bahut
tu ja raha hai to tujh ko sada nahin doonga

ki ab ki baar liyaqat hua hua so hua
main us ke haath mein ab aaina nahin doonga

तुम्हें अब इस से ज़ियादा सज़ा नहीं दूँगा
दुआएँ दूँगा मगर बद-दुआ' नहीं दूँगा

तिरी तरफ़ से लड़ूँगा मैं तेरी हर इक जंग
रहूँगा साथ मगर हौसला नहीं दूँगा

तिरी ज़बान पे मौक़ूफ़ मेरे हाथ का लम्स
निवाला दूँगा मगर ज़ाइक़ा नहीं दूँगा

मैं पहले बोसे से ना-आश्ना रखूँगा तुम्हें
फिर इस के बा'द तुम्हें दूसरा नहीं दूँगा

फिर एक बार गुज़र जाओ मेरे ऊपर से
मैं इस के बा'द तुम्हें रास्ता नहीं दूँगा

कि तू तलाश करे और मैं तुझ को मिल जाऊँ
मैं तेरी आँख को इतनी सज़ा नहीं दूँगा

भगाए रक्खूँगा अपनी अदालतों में तुम्हें
तमाम उम्र तुम्हें फ़ैसला नहीं दूँगा

मैं उस के साथ हूँ जो उठ के फिर खड़ा हो जाए
मैं तेरे शहर को अब ज़लज़ला नहीं दूँगा

तिरी अना के लिए सिर्फ़ ये सज़ा है बहुत
तू जा रहा है तो तुझ को सदा नहीं दूँगा

कि अब की बार 'लियाक़त' हुआ हुआ सो हुआ
मैं उस के हाथ में अब आइना नहीं दूँगा

  - Liaqat Jafri

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Liaqat Jafri

As you were reading Shayari by Liaqat Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Liaqat Jafri

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari