jab tujh se mila hoon to tujhe yaar kaha hai | जब तुझ से मिला हूँ तो तुझे यार कहा है

  - Maaz Aiz

jab tujh se mila hoon to tujhe yaar kaha hai
jab mil na saka hoon to dil-aazaar kaha hai

tu noor-e-nazar jaan-e-jigar rashk-e-qamar hai
o rooh-e-tagazzul tujhe gulnaar kaha hai

dekha jo tanaasub tire a'zaa-e-badan ka
har uzv ko gul khud tujhe gulzaar kaha hai

ab tak tiri baaton ki halaavat nahin jaati
jo tu ne kaha main ne vo sau baar kaha hai

poochi meri haajat jo kisi ne shab-e-yaldaa
mash'al ki bajaae tira rukhsaar kaha hai

tasveerein musavvir ne banaaiin to bahut par
sab ne tiri tasveer ko shehkaar kaha hai

jab khoob hui madh sitaaron ki to main ne
sab ko tire talvon ka parastaar kaha hai

jab mujh se hui maani-e-mehraab ki pursish
ungli se tire abroo-e-khandaar kaha hai

dekha jo magas ne tire gulfaam labon ko
khud ko gul-o-gulzaar se bezaar kaha hai

aankhen ram-e-aahoo-o-tilismaat ka sangam
ainaa ke laqab ka tujhe haqdaar kaha hai

aiz ye tira khwaab magar waaye nadaamat
logon ne ise ishq ka izhaar kaha hai

जब तुझ से मिला हूँ तो तुझे यार कहा है
जब मिल न सका हूँ तो दिल-आज़ार कहा है

तू नूर-ए-नज़र जान-ए-जिगर रश्क-ए-क़मर है
ओ रूह-ए-तग़ज़्ज़ुल तुझे गुलनार कहा है

देखा जो तनासुब तिरे आ'ज़ा-ए-बदन का
हर उज़्व को गुल ख़ुद तुझे गुलज़ार कहा है

अब तक तिरी बातों की हलावत नहीं जाती
जो तू ने कहा मैं ने वो सौ बार कहा है

पूछी मिरी हाजत जो किसी ने शब-ए-यलदा
मशअ'ल की बजाए तिरा रुख़्सार कहा है

तस्वीरें मुसव्विर ने बनाईं तो बहुत पर
सब ने तिरी तस्वीर को शहकार कहा है

जब ख़ूब हुई मद्ह सितारों की तो मैं ने
सब को तिरे तलवों का परस्तार कहा है

जब मुझ से हुई मा'नी-ए-मेहराब की पुर्सिश
उँगली से तिरे अबरू-ए-ख़मदार कहा है

देखा जो मगस ने तिरे गुलफ़ाम लबों को
ख़ुद को गुल-ओ-गुलज़ार से बेज़ार कहा है

आँखें रम-ए-आहू-ओ-तिलिस्मात का संगम
ऐना के लक़ब का तुझे हक़दार कहा है

'आइज़' ये तिरा ख़्वाब मगर वाए नदामत
लोगों ने इसे इश्क़ का इज़हार कहा है

  - Maaz Aiz

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Maaz Aiz

As you were reading Shayari by Maaz Aiz

Similar Writers

our suggestion based on Maaz Aiz

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari