main ne laakh dekhe sitam magar ye tira sitam to ajeeb hai | मैं ने लाख देखे सितम मगर ये तिरा सितम तो अजीब है

  - Maaz Aiz

main ne laakh dekhe sitam magar ye tira sitam to ajeeb hai
kabhi paas ho ke bhi door hai kabhi door ho ke qareeb hai

main bigad gaya tiri ik nazar se vagarna mujh ko to dekh kar
ye gali ki auratein bolatiin ise dekho kaisa najeeb hai

tu ho saamne to bhi be-khudi na ho saamne to bhi dil jale
mere kis gunah ki saza ye di ki tapeedgi hi naseeb hai

tire seher ka main shikaar ho ke tire qareeb jo aa gaya
to pata chala ye mujhe ki tujh se jo door hai vo labiib hai

ye dua bhi hai ki na vasl ho ye dua bhi hai ki na hijr ho
mere marz-e-dil ka sabab hai tu mere dil ka tu hi tabeeb hai

kabhi be-rukh itna ki khaar ho kabhi multafit to nisaar ho
tiri ye ada bhi habeeb hai tiri vo ada bhi habeeb hai

ye zamaana ahl-e-zamaana sab mujhe bhool jaayen gila nahin
tu na bhoolna ki maaz bhi tire may-kade ka raqeeb hai

मैं ने लाख देखे सितम मगर ये तिरा सितम तो अजीब है
कभी पास हो के भी दूर है कभी दूर हो के क़रीब है

मैं बिगड़ गया तिरी इक नज़र से वगर्ना मुझ को तो देख कर
ये गली की औरतें बोलतीं इसे देखो कैसा नजीब है

तू हो सामने तो भी बे-ख़ुदी न हो सामने तो भी दिल जले
मिरे किस गुनह की सज़ा ये दी कि तपीदगी ही नसीब है

तिरे सेहर का मैं शिकार हो के तिरे क़रीब जो आ गया
तो पता चला ये मुझे कि तुझ से जो दूर है वो लबीब है

ये दुआ भी है कि न वस्ल हो ये दुआ भी है कि न हिज्र हो
मिरे मर्ज़-ए-दिल का सबब है तू मिरे दिल का तू ही तबीब है

कभी बे-रुख़ इतना कि ख़ार हो कभी मुल्तफ़ित तो निसार हो
तिरी ये अदा भी हबीब है तिरी वो अदा भी हबीब है

ये ज़माना अहल-ए-ज़माना सब मुझे भूल जाएँ गिला नहीं
तू न भूलना कि 'मआज़' भी तिरे मय-कदे का रक़ीब है

  - Maaz Aiz

Justice Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Maaz Aiz

As you were reading Shayari by Maaz Aiz

Similar Writers

our suggestion based on Maaz Aiz

Similar Moods

As you were reading Justice Shayari Shayari