har baat yahan baat badhaane ke liye hai
ye umr jo dhoka hai to khaane ke liye hai
ye daaman-e-hasrat hai wahi khwaab-e-gurezaan
jo apne liye hai na zamaane ke liye hai
utre hue chehre mein shikaayat hai kisi ki
roothi hui rangat hai manaane ke liye hai
ghaafil tiri aankhon ka muqaddar hai andhera
ye farsh to raahon mein bichaane ke liye hai
ghabra na sitam se na karam se na ada se
har mod yahan raah dikhaane ke liye hai
हर बात यहाँ बात बढ़ाने के लिए है
ये उम्र जो धोका है तो खाने के लिए है
ये दामन-ए-हसरत है वही ख़्वाब-ए-गुरेज़ाँ
जो अपने लिए है न ज़माने के लिए है
उतरे हुए चेहरे में शिकायत है किसी की
रूठी हुई रंगत है मनाने के लिए है
ग़ाफ़िल तिरी आँखों का मुक़द्दर है अँधेरा
ये फ़र्श तो राहों में बिछाने के लिए है
घबरा न सितम से न करम से न अदा से
हर मोड़ यहाँ राह दिखाने के लिए है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mahboob Khizan
our suggestion based on Mahboob Khizan
As you were reading Ghayal Shayari Shayari