sar shaar-e-nigaah-e-narigis hoon paabasta-e-gesoo-e sumbul hoon
ye mera chaman hai mera chaman main apne chaman ka bulbul hoon
har aan yahan sahba-e-kuhan ik saagar-e-nau mein dhalti hai
kaliyon se husn tapkata hai phoolon se jawaani ubalti hai
jo taq-e-haram mein raushan hai vo shamaa yahan bhi jaltee hai
is dat ke goshe-goshe se ik joo-e-hayaat ubalti hai
islaam ke is but-khaane mein asnaam bhi hai aur aazar bhi
tahzeeb ke is maikhaane mein shamsheer bhi hai aur saaghar bhi
yaa husn ki barq chamakti hai ya noor ki baarish hoti hai
har aah yahan ek naghma hai har ashk yahan ik moti hai
har shaam hai shaam-e-misr yahan har shab hai shab-e-sheeraaz yahan
hai saare jahaan ka soz yahan aur saare jahaan ka saaz yahan
ye dashte junoon deewaanon ka ye bazme wafa parvaanon ki
ye shehr-e-tarab roomaanon ka ye khuld-e-bareen armaanon ki
fitrat ne sikhaai hai hamko uftaad yahan parvaaz yahan
gaaye hain wafa ke geet yahan chheda hai junoon ka saaz yahan
is farsh se hamne ud-udkar aflaak ke taare tode hain
naaheed se ki hai sargoshi parveen se rishte jode hain
is bazm mein tegein kheenchi hain is bazm mein saagar tode hain
is bazm mein aankh bichaaii hai is bazm mein dil tak jode hain
is bazm mein neje fenke hain is bazm mein khanjar choome hain
is bazm mein girkar tadpe hain is bazm mein peekar jhoome hain
aa-aake hazaaron baar yahan khud aag bhi hamne lagaaee hai
phir saare jahaan ne dekha hai ye aag ham hi ne bujhaai hai
yaa hamne kamandein daali hain yaa hamne shabkhoon maare hain
yaa hamne qabaayein nochi hain yaa hamne taaj utaare hain
har aah hai khud taaseer yahan har khaab hai khud taabeer yahan
tadbeer ke paaye sangi par jhuk jaati hai taqdeer yahan
zarraat ka bosa lene ko sau baar jhuka aakaash yahan
khud aankh se hamne dekhi hai baatil ki shikast-e-faash yahan
is gul kada-e-paareena mein phir aag bharkane waali hai
phir abr garjane waala hai phir barq kadkane waali hai
jo abr yahan se uthega vo saare jahaan par barsega
har joo-e-ravaan par barsega har kohe garaan par barsega
har sarv-o-saman par barsega har dasht-o-daman par barsega
khud apne chaman par barsega ghairoon ke chaman par barsega
har shehr-e-tarab par garjega har qasre tarab par kadkega
ye abr hamesha barsa hai ye abr hamesha barsega
सर शार-ए-निगाह-ऐ-नरिगस हूँ, पाबस्ता-ए-गेसू-ऐ सुंबुल हूँ
ये मेरा चमन है मेरा चमन, मैं अपने चमन का बुलबुल हूँ
हर आन यहाँ सहबा-ए-कुहन, इक सागर-ए-नौ में ढलती है
कलियों से हुस्न टपकता है, फूलों से जवानी उबलती है
जो ताक़-ए-हरम में रौशन है, वो शमआ यहाँ भी जलती है
इस दत के गोशे-गोशे से, इक जू-ऐ-हयात उबलती है
इस्लाम के इस बुत-ख़ाने में, अस्नाम भी है और आज़र भी
तहज़ीब के इस मैख़ाने में, शमशीर भी है और साग़र भी
याँ हुस्न की बर्क़ चमकती है, या नूर की बारिश होती है
हर आह यहाँ एक नग़मा है, हर अश्क़ यहाँ इक मोती है
हर शाम है, शाम-ए-मिस्र यहाँ, हर शब है, शब-ए-शीराज़ यहाँ
है सारे जहाँ का सोज़ यहाँ, और सारे जहाँ का साज़ यहाँ
ये दश्ते जुनूं दीवानों का, ये बज़्मे वफ़ा परवानों की
ये शहर-ए-तरब रूमानों का, ये ख़ुल्द-ए-बरीं अरमानों की
फ़ितरत ने सिखाई है हमको, उफ़ताद यहाँ परवाज़ यहाँ
गाए हैं वफ़ा के गीत यहाँ, छेड़ा है जुनूं का साज़ यहाँ
इस फ़र्श से हमने उड़-उड़कर, अफ़लाक के तारे तोड़े हैं
नाहीद से की है सरगोशी, परवीन से रिश्ते जोड़े हैं
इस बज़्म में तेगें खींची हैं, इस बज़्म में सागर तोड़े हैं
इस बज़्म में आँख बिछाई है, इस बज़्म में दिल तक जोड़े हैं
इस बज़्म में नेजे़ फेंके हैं, इस बज़्म में ख़ंजर चूमे हैं
इस बज़्म में गिरकर तड़पे हैं, इस बज़्म में पीकर झूमे हैं
आ-आके हज़ारों बार यहाँ, खुद आग भी हमने लगाई है
फिर सारे जहाँ ने देखा है ये आग हम ही ने बुझाई है
याँ हमने कमंदें डाली हैं याँ हमने शबख़ूँ मारे हैं
याँ हमने क़बाएँ नोची हैं, याँ हमने ताज उतारे हैं
हर आह है ख़ुद तासीर यहाँ, हर ख़्याब है ख़ुद ताबीर यहाँ
तदबीर के पाए संगी पर, झुक जाती है तक़दीर यहाँ
ज़र्रात का बोसा लेने को, सौ बार झुका आकाश यहाँ
ख़ुद आँख से हमने देखी है, बातिल की शिकस्त-ए-फाश यहाँ
इस गुल कदा-ए-पारीना में फिर आग भड़कने वाली है
फिर अब्र गरजने वाला है, फिर बर्क़ कड़कने वाली है
जो अब्र यहाँ से उठेगा, वो सारे जहाँ पर बरसेगा
हर जू-ऐ-रवां पर बरसेगा, हर कोहे गरां पर बरसेगा
हर सर्व-ओ-समन पर बरसेगा, हर दश्त-ओ-दमन पर बरसेगा
ख़ुद अपने चमन पर बरसेगा, ग़ैरों के चमन पर बरसेगा
हर शहर-ए-तरब पर गरजेगा, हर क़स्रे तरब पर कड़केगा
ये अब्र हमेशा बरसा है, ये अब्र हमेशा बरसेगा
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Majaz Lakhnavi
As you were reading Shaheed Shayari Shayari