kisi bhi shay pe aa jaane mein kitni der lagti hai
magar phir dil ko samjhaane mein kitni der lagti hai
zara sa waqt lagta hai kahi se uth ke jaane mein
magar phir laut kar aane mein kitni der lagti hai
bala ka roop ye tevar saraapa dhaar heere ki
kisi ke jaan se jaane mein kitni der lagti hai
faqat aankhon ki jumbish se bayaan hota hai afsaana
kisi ko haal batlaane mein kitni der lagti hai
sabhi se oob kar yun to chale aaye ho khilwat mein
magar khud se bhi uktaane mein kitni der lagti hai
shuur-e-may-kada is ki ijaazat hi nahin deta
vagarna jaam chhalkaane mein kitni der lagti hai
ye sheeshe ka badan le kar nikal to aaye ho lekin
kisi patthar se takraane mein kitni der lagti hai
किसी भी शय पे आ जाने में कितनी देर लगती है
मगर फिर दिल को समझाने में कितनी देर लगती है
ज़रा सा वक़्त लगता है कहीं से उठ के जाने में
मगर फिर लौट कर आने में कितनी देर लगती है
बला का रूप ये तेवर सरापा धार हीरे की
किसी के जान से जाने में कितनी देर लगती है
फ़क़त आँखों की जुम्बिश से बयाँ होता है अफ़्साना
किसी को हाल बतलाने में कितनी देर लगती है
सभी से ऊब कर यूँ तो चले आए हो ख़ल्वत में
मगर ख़ुद से भी उकताने में कितनी देर लगती है
शुऊर-ए-मय-कदा इस की इजाज़त ही नहीं देता
वगर्ना जाम छलकाने में कितनी देर लगती है
ये शीशे का बदन ले कर निकल तो आए हो लेकिन
किसी पत्थर से टकराने में कितनी देर लगती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manish Shukla
our suggestion based on Manish Shukla
As you were reading Dil Shayari Shayari