baarha dhoondhta raha us ko
jab mili dil-nasheen kaha us ko
aag nafrat kii phailti kyun hai
kaun de tool baarha us ko
raah mein rahguzar mila mujh ko
yah safar yaad hi raha us ko
intiha ho gai meri aakhir
kis qadar khoob phir sahaa us ko
waqt ke saath jo na badla vo
vaasta kaash hi raha us ko
बारहा ढूँढ़ता रहा उस को
जब मिली दिल-नशीं कहा उस को
आग नफ़रत की फैलती क्यूँ है
कौन दे तूल बारहा उस को
राह में रहगुज़र मिला मुझ को
यह सफ़र याद ही रहा उस को
इंतिहा हो गई मेरी आख़िर
किस क़दर ख़ूब फिर सहा उस को
वक़्त के साथ जो न बदला वो
वास्ता काश ही रहा उस को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Dushman Shayari Shayari