bol ke hi khushi agar aati
khaamoshi aur hi nazar aati
aarzoo ham sabhi yahi karte
kaash achhi sada khabar aati
raah me aur bhi yahaan kuchh hai
kaash ummeed ik nazar aati
umr kuchh saal jab thehar jaati
phir khudaai nazar kidhar aati
raah mushkil bhari rahi lekin
sirf khawf-o-khatr nazar aati
ashk aate kabhi nahin aate
yaad kyun teri raat bhar aati
ranj rehta kabhi bahut dil mein
aankh mein tab nami nazar aati
बोल के ही ख़ुशी अगर आती
ख़ामुशी और ही नज़र आती
आरज़ू हम सभी यही करते
काश अच्छी सदा ख़बर आती
राह मे और भी यहांँ कुछ है
काश उम्मीद इक नज़र आती
उम्र कुछ साल जब ठहर जाती
फिर ख़ुदाई नज़र किधर आती
राह मुश्किल भरी रही लेकिन
सिर्फ़ ख़ौफ़-ओ-ख़तर नज़र आती
अश्क आते कभी नहीं आते
याद क्यूँ तेरी रात भर आती
रंज रहता कभी बहुत दिल में
आँख में तब नमी नज़र आती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Budhapa Shayari Shayari