bazm mein la-jawaab dikhnna tha
aur phir mahtaab dikhnna tha
husn se anjuman sajaana tha
ham-nafs be-hisaab dikhnna tha
rosh hai hi isiliye yaaron
daf'atan hi itaab dikhnna tha
haan ubharte hue kabhi ghar ka
phir mujhe aaftaab dikhnna tha
husn ke rang to bahut hote
phir kisi ka shabaab dikhnna tha
बज़्म में ला-जवाब दिखना था
और फिर माहताब दिखना था
हुस्न से अंजुमन सजाना था
हम-नफ़स बे-हिसाब दिखना था
रोष है ही इसीलिए यारों
दफ़'अतन ही इताब दिखना था
हाँ उभरते हुए कभी घर का
फिर मुझे आफ़ताब दिखना था
हुस्न के रंग तो बहुत होते
फिर किसी का शबाब दिखना था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Jawani Shayari Shayari