raahen hari bhari kya manzar mujhe lage hai | राहें हरी भरी क्या मंज़र मुझे लगे है

  - Manohar Shimpi

raahen hari bhari kya manzar mujhe lage hai
ik ghar wahan rahe ye akshar mujhe lage hai

vo khuld ke nazare bhi soch se pare hain
neela ye aasmaan hi ab ghar mujhe lage hai

hamraah rahguzar hi kuchh aur hi kahe hai
patthar biche hue vo bistar mujhe lage hai

hatti nahin nazar jab bhi dekhte hue hi
koi to hai qareebi akshar mujhe lage hai

gumraah jo hue the chalte hue manohar
unke hi haath fenke patthar mujhe lage hai

राहें हरी भरी क्या मंज़र मुझे लगे है
इक घर वहाँ रहे ये अक्सर मुझे लगे है

वो ख़ुल्द के नज़ारे भी सोच से परे हैं
नीला ये आसमाँ ही अब घर मुझे लगे है

हमराह रहगुज़र ही कुछ और ही कहे है
पत्थर बिछे हुए वो बिस्तर मुझे लगे है

हटती नहीं नज़र जब भी देखते हुए ही
कोई तो है क़रीबी अक्सर मुझे लगे है

गुमराह जो हुए थे चलते हुए "मनोहर"
उनके ही हाथ फेंके पत्थर मुझे लगे है

  - Manohar Shimpi

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari