karb se rishta hi shaayad hai puraana | कर्ब से रिश्ता ही शायद है पुराना

  - Manohar Shimpi

karb se rishta hi shaayad hai puraana
khwaab de jaate naya phir ik bahaana

ranj koii tha nahin yaaron kabhi bhi
doston ke saath guzra hai zamaana

husn ke jab rang dikhte aur hi hai
koii hota hai kisi ka to deewana

mahz rut aati chali jaati sada hai
rut se ziyaada khoob badla hai zamaana

karb ke hi saath jee le ai musafir
aaj hai tu kal kahaan hoga thikaana

tootte rishte yahan pal mein manohar
ai badalte hi jahaan ka hai fasaana

कर्ब से रिश्ता ही शायद है पुराना
ख़्वाब दे जाते नया फिर इक बहाना

रंज कोई था नहीं यारों कभी भी
दोस्तों के साथ गुज़रा है ज़माना

हुस्न के जब रंग दिखते और ही है
कोई होता है किसी का तो दिवाना

महज़ रुत आती चली जाती सदा है
रुत से ज़्यादा ख़ूब बदला है ज़माना

कर्ब के ही साथ जी ले ऐ मुसाफ़िर
आज है तू कल कहाँ होगा ठिकाना

टूटते रिश्ते यहाँ पल में 'मनोहर'
ऐ बदलते ही जहाँ का है फ़साना

  - Manohar Shimpi

Diversity Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Diversity Shayari Shayari