kabhi kabhi sawaaliya nishaan tum kiya karo | कभी कभी सवालिया निशान तुम किया करो - Manohar Shimpi

kabhi kabhi sawaaliya nishaan tum kiya karo
sawaal ke jawaab se samaa badal diya karo

dhuaan dhuaan hui abhi vo be-hisaab si tadap
agar diler ho usi tadap se phir jiya karo

kabhi kabhi to hijr ki vo shaam bhi lage badi
shab-e-taveel mein kabhi samaa bana liya karo

bahl gaya agar ye dil kise firaq mai kahoon
juda hue gale mile sawaal phir kiya karo

rah-e-safar kise pata kahi to door le chale
isiliye safar mein ab nihaal chal liya karo

कभी कभी सवालिया निशान तुम किया करो
सवाल के जवाब से समा बदल दिया करो

धुआँ धुआँ हुई अभी वो बे-हिसाब सी तड़प
अगर दिलेर हो उसी तड़प से फिर जिया करो

कभी कभी तो हिज्र की वो शाम भी लगे बड़ी
शब-ए-तवील में कभी समा बना लिया करो

बहल गया अगर ये दिल किसे फ़िराक़ मै कहूँ
जुदा हुए गले मिले सवाल फिर किया करो

रह-ए-सफ़र किसे पता कहीं तो दूर ले चले
इसीलिए सफ़र में अब निहाल चल लिया करो

- Manohar Shimpi
1 Like

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari