chura kyun rahe hain nazar aap bhi na | चुरा क्यूँ रहे हैं नज़र आप भी ना

  - Manohar Shimpi

chura kyun rahe hain nazar aap bhi na
na hi ghair hoon main magar aap bhi na

agar ho khafa to bayaan kyun na karte
usi ka hua kya asar aap bhi na

gham-e-dil raha hi nahin ab koi bhi
inaayat hui hai magar aap bhi na

jhuki si nigaahen meri dhoondhti hain
shab-e-wasl ko hi magar aap bhi na

kahi baat mere liye chal rahi hai
kahaan aapko hai khabar aap bhi na

kai baar dekha nigaahen chura ke
kahi baat dil ki magar aap bhi na

mujhe dekhte hi yahan aa gaye ho
abhi to uthao nazar aap bhi na

zubaan aur dil mein bahut hai manohar
abhi aap jaao na ghar aap bhi na

चुरा क्यूँ रहे हैं नज़र आप भी ना
न ही ग़ैर हूँ मैं मगर आप भी ना

अगर हो ख़फ़ा तो बयांँ क्यूँ न करते
उसी का हुआ क्या असर आप भी ना

ग़म-ए-दिल रहा ही नहीं अब कोई भी
इनायत हुई है मगर आप भी ना

झुकी सी निगाहें मेरी ढूँढती हैं
शब-ए-वस्ल को ही मगर आप भी ना

कहीं बात मेरे लिए चल रही है
कहाँ आपको है ख़बर आप भी ना

कई बार देखा निगाहें चुरा के
कही बात दिल की मगर आप भी ना

मुझे देखते ही यहाँ आ गए हो
अभी तो उठाओ नज़र आप भी ना

ज़ुबाँ और दिल में बहुत है 'मनोहर'
अभी आप जाओ न घर आप भी ना

  - Manohar Shimpi

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari