anokhe jahaan ke nazaare rahenge | अनोखे जहाँ के नज़ारे रहेंगे

  - Manohar Shimpi

anokhe jahaan ke nazaare rahenge
falak par kahin phir sitaare rahenge

dikhe koii manzar hamein raat din hi
wahan shaam hote hi taare rahenge

akela rahenge akela dikhhenge
wahan ishq ke phir se maare rahenge

jahaan bhi rahenge wahan log honge
pata hai tumhaare sahaare rahenge

agar hijr mein bhi safar raat ka ho
gham-e-shab mein bhi kuchh sitaare rahenge

shab-o-roz ham bhi dikhhenge manohar
isi aasmaan ke sitaare rahenge

अनोखे जहाँ के नज़ारे रहेंगे
फ़लक पर कहीं फिर सितारे रहेंगे

दिखे कोई मंज़र हमें रात दिन ही
वहाँ शाम होते ही तारे रहेंगे

अकेले रहेंगे अकेले दिखेंगे
वहाँ इश्क़ के फिर से मारे रहेंगे

जहाँ भी रहेंगे वहाँ लोग होंगे
पता है तुम्हारे सहारे रहेंगे

अगर हिज्र में भी सफ़र रात का हो
ग़म-ए-शब में भी कुछ सितारे रहेंगे

शब-ओ-रोज़ हम भी दिखेंगे 'मनोहर'
इसी आसमाँ के सितारे रहेंगे

  - Manohar Shimpi

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari